watan ke waste
kyā huā gar mar ga.e apne vatan ke vāste
bulbuleñ qurbān hotī haiñ chaman ke vāste
tars aatā hai tumhāre haal par ai hindiyo
ġhair ke muhtāj ho apne kafan ke vāste
dekhte haiñ aaj jis ko shaad hai āzād hai
kyā tumhīñ paidā hue rañj-o-mehan ke vāste
dard se ab bilbilāne kā zamāna ho gayā
fikr karnī chāhiye marz-e-kuhan ke vāste
hinduoñ ko chāhiye ki qasd ka.aba kā kareñ
aur phir muslim baḌheñ gang-o-jaman ke vāste
kya hua gar mar gae apne watan ke waste
bulbulen qurban hoti hain chaman ke waste
tars aata hai tumhaare haal par ai hindiyo
ghair ke muhtaj ho apne kafan ke waste
dekhte hain aaj jis ko shad hai aazad hai
kya tumhin paida hue ranj-o-mehan ke waste
dard se ab bilbilane ka zamana ho gaya
fikr karni chahiye marz-e-kuhan ke waste
hinduon ko chahiye ki qasd kaba ka karen
aur phir muslim baDhen gang-o-jaman ke waste
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.