watan ki miTTi
Interesting Fact
12th September, 1949
mere vatan kī miTTī sonā ugal rahī hai
sabze kī ye hukūmat ye khet lahlahāte
patte havā se chhū kar ek raag sā sunāte
sotā huā muqaddar insān kā jagāte
paude nahīñ zamīñ se daulat ubal rahī hai
mere vatan kī miTTī sonā ugal rahī hai
makka hai yā zamurrad tan kar khaḌe hue haiñ
dhānoñ kī bāliyoñ meñ hiire jaḌe hue haiñ
bhuTTe haiñ jvaar ke yā motī jaḌe hue haiñ
iflās ke gale par talvār chal rahī hai
mere vatan kī miTTī sonā ugal rahī hai
jau meñ chhupī huī hai sheroñ se baḌh kar tāqat
paatā huuñ maiñ chane meñ sau sau tarah kī lazzat
gehūñ ko kyoñ na samjhūñ apnī vatan kī daulat
is ke hī bal pe saarī maḳhlūq meñ rahī hai
mere vatan kī miTTī sonā ugal rahī hai
phal phuul hoñ ki meve kyā se kyā yahāñ nahīñ hai
kānoñ kā ik ḳhazāna is mulk kī zamīñ hai
pukhrāj bhī yahīñ hai yāqūt bhī yahīñ hai
paane ko jin ko saarī duniyā machal rahī hai
mere vatan kī miTTī sonā ugal rahī hai
aisī zamīn pā kar ḳhushiyāñ na kyoñ manā.eñ
aapas kā bair chhoḌeñ mil-jul ke aish uḌā.eñ
duniyā meñ is zamīñ kī sab aabrū baḌhā.eñ
lāzim hai log sambhleñ duniyā sambhal rahī hai
mere vatan kī miTTī sonā ugal rahī hai
mere watan ki miTTi sona ugal rahi hai
sabze ki ye hukumat ye khet lahlahate
patte hawa se chhu kar ek rag sa sunate
sota hua muqaddar insan ka jagate
paude nahin zamin se daulat ubal rahi hai
mere watan ki miTTi sona ugal rahi hai
makka hai ya zamurrad tan kar khaDe hue hain
dhanon ki baaliyon mein hire jaDe hue hain
bhuTTe hain jwar ke ya moti jaDe hue hain
iflas ke gale par talwar chal rahi hai
mere watan ki miTTi sona ugal rahi hai
jau mein chhupi hui hai sheron se baDh kar taqat
pata hun main chane mein sau sau tarah ki lazzat
gehun ko kyon na samjhun apni watan ki daulat
is ke hi bal pe sari maKHluq mein rahi hai
mere watan ki miTTi sona ugal rahi hai
phal phul hon ki mewe kya se kya yahan nahin hai
kanon ka ek KHazana is mulk ki zamin hai
pukhraj bhi yahin hai yaqut bhi yahin hai
pane ko jin ko sari duniya machal rahi hai
mere watan ki miTTi sona ugal rahi hai
aisi zamin pa kar KHushiyan na kyon manaen
aapas ka bair chhoDen mil-jul ke aish uDaen
duniya mein is zamin ki sab aabru baDhaen
lazim hai log sambhlen duniya sambhal rahi hai
mere watan ki miTTi sona ugal rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.