watan ki shan
raanī jab schōl se aa.ī
ammī ko ye baat batā.ī
ammī jī schōl meñ apne
ḳhuub huī hai aaj safā.ī
konā konā saaf huā hai
sābun se bhī huī dhulā.ī
ham ne sundar chart banā.e
aur ik ik dīvār sajā.ī
phūloñ ke paudoñ se ham ne
gulshan kī dhartī mahkā.ī
is se bhī baḌh kar ammī bhī
aur huī hai ek baḌā.ī
vaqt pe madam aa jaatī haiñ
hotī hai ab ḳhuub paḌhā.ī
ammī ye kyā bhed hai āḳhir
kaise ye tabdīlī aa.ī
ye sun kar phir ammī bolīñ
beTī ko har baat batā.ī
tum ko ye mālūm nahīñ hai
bhārat ne lī hai añgḌā.ī
bachcha bachcha jaag uThā hai
ḳhuun meñ sab ke garmī aa.ī
daftar mil schōl dukāneñ
chhā.ī hai sab par ra.anā.ī
mandir masjid gurudvāre bhī
karte haiñ jalva-ārā.ī
jangal jangal sabza lahkā
dahqāñ kī ummīd bar aa.ī
shahr hue haiñ saaf aur suthre
gaañv meñ bhī raunaq aa.ī
kitne hī dukh duur hue haiñ
ghaTtī jaatī hai mahñgā.ī
jhuggī meñ rahne vāloñ ko
colony kī raah dikhā.ī
bhārat meñ ab amn-o-amāñ hai
miT ga.e jhagḌe aur laḌā.ī
des ke dushman sakte meñ haiñ
bol ke sab ne muñh kī khaa.ī
jai ho jai indarā gāñdhī kī
us ne vatan kī shaan baḌhā.ī
rani jab school se aai
ammi ko ye baat batai
ammi ji school mein apne
KHub hui hai aaj safai
kona kona saf hua hai
sabun se bhi hui dhulai
hum ne sundar chart banae
aur ek ek diwar sajai
phulon ke paudon se hum ne
gulshan ki dharti mahkai
is se bhi baDh kar ammi bhi
aur hui hai ek baDai
waqt pe madam aa jati hain
hoti hai ab KHub paDhai
ammi ye kya bhed hai aaKHir
kaise ye tabdili aai
ye sun kar phir ammi bolin
beTi ko har baat batai
tum ko ye malum nahin hai
bhaarat ne li hai angDai
bachcha bachcha jag uTha hai
KHun mein sab ke garmi aai
daftar mil school dukanen
chhai hai sab par ranai
mandir masjid gurudware bhi
karte hain jalwa-arai
jangal jangal sabza lahka
dahqan ki ummid bar aai
shahr hue hain saf aur suthre
ganw mein bhi raunaq aai
kitne hi dukh dur hue hain
ghaTti jati hai mahngai
jhuggi mein rahne walon ko
colony ki rah dikhai
bhaarat mein ab amn-o-aman hai
miT gae jhagDe aur laDai
des ke dushman sakte mein hain
bol ke sab ne munh ki khai
jai ho jai indara gandhi ki
us ne watan ki shan baDhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.