watan mein aaKHiri sham
falak kī shāḳh par
apne lahū meñ tar
parinda shaam kā utrā
to ham ne bhī saf-e-mātam bichā.ī
ḳhaak par
us ke lahū ke surḳh chhīñToñ se
ka.ī jugnū chamak uTThe
to le ke raushnā.ī dil ke shīshe se
ufuq kī lauh par mashriq meñ
terā naam likkhā
jo hamārī āḳhirī pahchān thā
falak ki shaKH par
apne lahu mein tar
parinda sham ka utra
to hum ne bhi saf-e-matam bichai
KHak par
us ke lahu ke surKH chhinTon se
kai jugnu chamak uTThe
to le ke raushnai dil ke shishe se
ufuq ki lauh par mashriq mein
tera nam likkha
jo hamari aaKHiri pahchan tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.