wazir ka farman
logo mujhe salām karo maiñ vazīr huuñ
gardan ke saath ḳhud bhī jhuko maiñ vazīr huuñ
gardan meñ haar Daal do maiñ jhuk sakūñ agar
na.are bhī kuchh buland karo maiñ vazīr huuñ
tum hāthoñ-hāth lo mujhe daure par aa.uuñ jab
motor ke saath saath chalo maiñ vazīr huuñ
likkhe haiñ shā.iroñ ne qasā.ed mire liye
ek aadh nazm tum bhī kaho maiñ vazīr huuñ
jo mujh se kahne aao ḳhabar-dār mat kaho
jo kuchh maiñ kah rahā huuñ suno maiñ vazīr huuñ
ma.azūr huuñ maiñ apnī vazārat se be-tarah
tum tarah-dār mujh ko kaho maiñ vazīr huuñ
be-shak hai barhamī sī mirī guftugū ke beach
lekin adab se baat suno meñ vazīr huuñ
maiñ vo nahīñ ki yūsuf be-kārvāñ phirūñ
merā julūs le ke chalo maiñ vazīr huuñ
aḳhbār vaalo soch samajh kar karo savāl
jo shīsha mere muñh na lago maiñ vazīr huuñ
mujh se qarābatoñ ko bas ab bhuul jaao tum
ai mere bhaa.ī band gadho maiñ vazīr huuñ
mujh ko to mil ga.ī hai vazārat kī zindagī
marte ho tum to jaao maro maiñ vazīr huuñ
logo mujhe salam karo main wazir hun
gardan ke sath KHud bhi jhuko main wazir hun
gardan mein haar Dal do main jhuk sakun agar
nare bhi kuchh buland karo main wazir hun
tum hathon-hath lo mujhe daure par aaun jab
motor ke sath sath chalo main wazir hun
likkhe hain shairon ne qasaed mere liye
ek aadh nazm tum bhi kaho main wazir hun
jo mujh se kahne aao KHabar-dar mat kaho
jo kuchh main kah raha hun suno main wazir hun
mazur hun main apni wazarat se be-tarah
tum tarah-dar mujh ko kaho main wazir hun
be-shak hai barhami si meri guftugu ke beach
lekin adab se baat suno mein wazir hun
main wo nahin ki yusuf be-karwan phirun
mera julus le ke chalo main wazir hun
aKHbar walo soch samajh kar karo sawal
jo shisha mere munh na lago main wazir hun
mujh se qarabaton ko bas ab bhul jao tum
ai mere bhai band gadho main wazir hun
mujh ko to mil gai hai wazarat ki zindagi
marte ho tum to jao maro main wazir hun
- Book : Muntakhab Shahekar Mazahiya Shayari (Pg. 82)
- Author : Roohi Kanjahi
- Publication : Alhamd Publications (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.