wentilator par paDi mohabbat
mohabbat kahne ko lafz hai magar
jise tum na samjhe vo ehsās thā
ka.ī sadiyoñ se mohabbat kā safar kartā
maiñ aaj usī jagah huuñ jahāñ se chalā thā
ka.ī baras se mere ghar ke darvāze
terī dastak ke liye taras rahe haiñ
aur un ko bhī kisī kī yaad kī dīmak
andar se khaa.e jā rahī hai
merī jaañ hijr meñ intizār
koī āsāñ baat to nahīñ
tere jaane ko aaj
pāñch baras mukammal hone ko haiñ
magar terī chūḌiyoñ kī khanak aaj tak
mere kānoñ meñ guuñj rahī hai
terī hijrat ke baa'd mujhe ehsās huā
ki bārish kī āvāz meñ bhī ik mausīqī hai
jise sun kar logoñ ne mohabbat karnā sīkhā
maiñ ne chāhā thā ki hamāre darmiyāñ ik āḳhirī mulāqāt hotī jahāñ ham
lafzoñ kī jagah ik dūsre kī ḳhāmoshī ko samajhte
magar is mulāqāt meñ āThveñ barr-e-āzam se aa.e
kuchh anjān log rukāvaT bane
jo yūnānī ḳhudāoñ kī nā-jā.ez aulād the
tum nahīñ jāntī tumhārī hijrat ke baa'd
kitne charāġhoñ ne zahr ke pyāle nosh kiye
kitne parindoñ ne gaañv chhoḌ diyā
kitne pahāḌoñ ko nadiyoñ ne apnī āġhosh meñ le liyā
kitnī titliyoñ ne apne rang ḳhudā ke canvas ko tohfa kar diye
to kisī ne terī āvāz sunñe ke liye
shahroñ ke shor ko chhoḌ kar
jangaloñ meñ baserā kar liyā
terī hijrat ke baa'd maiñ ne ḳhudā se
baġhāvat kā sochā to ḳhayāl aaya
ki tū bhī usī kī taḳhlīq hai
maiñ ne vīrān shāh-rāhoñ pe reñgtī ḳhāmoshī meñ
terī hijrat kā dukh dekhā
maiñ ne biis hazār saal purāne khañDarāt kī
dīvār par terā naam likhā paḌhā to mahsūs huā
tū to guzishta sadiyoñ se logoñ kā armān rahā
maiñ ne sau-sālā purāne bargad ke peḌ se
terī mohabbat ke qisse sune to patā chalā
ki ḳhalā-bāz chāñd par zindagī kī
talāsh meñ kyoñ haiñ
maiñ ne purāne shā'iroñ kī nazmoñ meñ
terī hijrat kā dukh mahsūs kiyā
maiñ ne dargāhoñ ke bāhar baiThe faqīroñ ke chehroñ par
terī hijrat kā ġham dekhā hai
kitne daraḳht terī talab kī mannat ke dhāgoñ se bhar ga.e
aur zamīñ ne unheñ apnī āġhosh meñ le liyā
zalzaloñ se bosīda gharoñ ke malboñ se
milne vaale ḳhutūt meñ
maiñ ne tere liye mohabbat bhare jumle dekhe
maiñ ne yūnānī ḳhudāoñ kī kitāboñ meñ tere qisse paḌhe
to mahsūs huā terī mohabbat kī dāstāñ meñ
merā kirdār ek tissue paper se ziyāda na thā
chunāñche maiñ ne apnī bīnā.ī ullū ko tohfa kī
apnī lāchār mohabbat ko ventilator par chhoḌā
aur jangal kā ruḳh kar liyā
mohabbat kahne ko lafz hai magar
jise tum na samjhe wo ehsas tha
kai sadiyon se mohabbat ka safar karta
main aaj usi jagah hun jahan se chala tha
kai baras se mere ghar ke darwaze
teri dastak ke liye taras rahe hain
aur un ko bhi kisi ki yaad ki dimak
andar se khae ja rahi hai
meri jaan hijr mein intizar
koi aasan baat to nahin
tere jaane ko aaj
panch baras mukammal hone ko hain
magar teri chuDiyon ki khanak aaj tak
mere kanon mein gunj rahi hai
teri hijrat ke ba'd mujhe ehsas hua
ki barish ki aawaz mein bhi ek mausiqi hai
jise sun kar logon ne mohabbat karna sikha
main ne chaha tha ki hamare darmiyan ek aaKHiri mulaqat hoti jahan hum
lafzon ki jagah ek dusre ki KHamoshi ko samajhte
magar is mulaqat mein aaThwen barr-e-azam se aae
kuchh anjaan log rukawaT bane
jo yunani KHudaon ki na-jaez aulad the
tum nahin jaanti tumhaari hijrat ke ba'd
kitne charaghon ne zahr ke pyale nosh kiye
kitne parindon ne ganw chhoD diya
kitne pahaDon ko nadiyon ne apni aaghosh mein le liya
kitni titliyon ne apne rang KHuda ke canwas ko tohfa kar diye
to kisi ne teri aawaz sunne ke liye
shahron ke shor ko chhoD kar
jangalon mein basera kar liya
teri hijrat ke ba'd main ne KHuda se
baghawat ka socha to KHayal aaya
ki tu bhi usi ki taKHliq hai
main ne viran shah-rahon pe rengti KHamoshi mein
teri hijrat ka dukh dekha
main ne bis hazar sal purane khanDaraat ki
diwar par tera nam likha paDha to mahsus hua
tu to guzishta sadiyon se logon ka arman raha
main ne sau-sala purane bargad ke peD se
teri mohabbat ke qisse sune to pata chala
ki KHala-baz chand par zindagi ki
talash mein kyon hain
main ne purane sha'iron ki nazmon mein
teri hijrat ka dukh mahsus kiya
main ne dargahon ke bahar baiThe faqiron ke chehron par
teri hijrat ka gham dekha hai
kitne daraKHt teri talab ki mannat ke dhagon se bhar gae
aur zamin ne unhen apni aaghosh mein le liya
zalzalon se bosida gharon ke malbon se
milne wale KHutut mein
main ne tere liye mohabbat bhare jumle dekhe
main ne yunani KHudaon ki kitabon mein tere qisse paDhe
to mahsus hua teri mohabbat ki dastan mein
mera kirdar ek tissue paper se ziyaada na tha
chunanche main ne apni binai ullu ko tohfa ki
apni lachaar mohabbat ko wentilator par chhoDa
aur jangal ka ruKH kar liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.