wideo game
baTan āġhāz kā dabte hī maiñ ne
rāstoñ meñ jā-ba-jā bikhrī huī quvvat
har ik andāz se ḳhud meñ uñDelī thī
kitābeñ aur sakhiyāñ ḳhvāb aur manzar
sahīfoñ ke sunahre harf sab jholī meñ Daale the
ḳhabar thī jis muhim-jūī pe niklī huuñ
yahāñ chalnā musalsal raah daldal aur tavānā.ī mirā vāhid havāla hai
baḌī muddat huī chalte hue mujh ko
chaTTāneñ haiñ aur un ke ba.ad ik kaalā samundar hai
hare uude jazīroñ se bharā hai
jin pe paañv rakhtī jā.ūñ to samundar kuchh nahīñ kahtā
ye dekho ek pal hai
taḳhta taḳhta girtā jaatā hai
use girne se pahle paar karnā hai
ye taḳhte to bahāna haiñ
mire paañv havā meñ haiñ
ab aage saikḌoñ shāḳha koī chhitnār hai
jis kī sabhī shāḳhoñ se ūñchī shāḳh par makkār dushman hai
use yā mārnā hai yā mujhe bach kar nikalnā hai
ye aglā marhala hai
ab vo dushman dū-badū hai vaar kartā hai
maiñ auñdhe muñh na-jāne kin nasheboñ meñ luḌhaktī huuñ
uchhālā ḳhud ko detī huuñ
to ik bālisht se har baar rahtī huuñ
nahīñ maiñ is muhim-jūī se ghabrā.ī nahīñ huuñ
fikr bas ye hai
mire raste meñ ab quvvat nahīñ hai
bas masāfat hai
baTan aaghaz ka dabte hi main ne
raston mein ja-ba-ja bikhri hui quwwat
har ek andaz se KHud mein unDeli thi
kitaben aur sakhiyan KHwab aur manzar
sahifon ke sunahre harf sab jholi mein Dale the
KHabar thi jis muhim-jui pe nikli hun
yahan chalna musalsal rah daldal aur tawanai mera wahid hawala hai
baDi muddat hui chalte hue mujh ko
chaTTanen hain aur un ke baad ek kala samundar hai
hare ude jaziron se bhara hai
jin pe panw rakhti jaun to samundar kuchh nahin kahta
ye dekho ek pal hai
taKHta taKHta girta jata hai
use girne se pahle par karna hai
ye taKHte to bahana hain
mere panw hawa mein hain
ab aage saikDon shaKHa koi chhitnar hai
jis ki sabhi shaKHon se unchi shaKH par makkar dushman hai
use ya marna hai ya mujhe bach kar nikalna hai
ye agla marhala hai
ab wo dushman du-badu hai war karta hai
main aundhe munh na-jaane kin nashebon mein luDhakti hun
uchhaala KHud ko deti hun
to ek baalisht se har bar rahti hun
nahin main is muhim-jui se ghabrai nahin hun
fikr bas ye hai
mere raste mein ab quwwat nahin hai
bas masafat hai
- Book : Gul-e-Dupahar (Pg. 29)
- Author : Saima Asma
- Publication : Idarah Batool, Sayyed Palaza, Firozpur Road (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.