viran ghaar
in vīrān ġhāroñ ko
dekho ki yahāñ
insāniyat kī jur.at kī kahānī dafn hai
yahāñ insān ne andhī tāqat se Takkar lī thī
hamdardī ke bol
saare ham-dardoñ ke paañv kī zanjīr bane the
aur luTere
hamāre hañste hue bachchoñ ko
kuchalte rahne ke liye āzād the
ik nazar
in vīrān ġhāroñ ko dekho
kahīñ vahī ġhaar to nahīñ jin kī oT se har roz nayā saverā
luTeroñ ke liye aag
ham-dardoñ ke liye sharm
aur dabe-kuchloñ ke liye ummīd kī nannhī sī kiran le kar ubhartā hai
in viran ghaaron ko
dekho ki yahan
insaniyat ki jurat ki kahani dafn hai
yahan insan ne andhi taqat se Takkar li thi
hamdardi ke bol
sare ham-dardon ke panw ki zanjir bane the
aur luTere
hamare hanste hue bachchon ko
kuchalte rahne ke liye aazad the
ek nazar
in viran ghaaron ko dekho
kahin wahi ghaar to nahin jin ki oT se har roz naya sawera
luTeron ke liye aag
ham-dardon ke liye sharm
aur dabe-kuchlon ke liye ummid ki nannhi si kiran le kar ubharta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.