viran KHwahish
mire andar
ghanā jañgal
ghane anjān jañgal meñ
lachak shāḳhoñ kī vahshat meñ
shajar ke patte patte par
munaqqash an-ginat sadiyāñ
zamānoñ ke badan uryāñ
azal kī zad, abad kī had
khañDar, mīnār aur gumbad
ravāñ lā-samt tahzībeñ
na.e imkān kī sāñseñ,
kabhī apnī giraftoñ meñ
giraftoñ se kabhī bāhar
lahū, āfāq, ik dariyā
badan lamhāt kā sahrā
jahāñ duniyā bhaTaktī thī
vo sab ḳhāmosh aur tanhā
isī sahrā ke sannāTe ko naġhmoñ se bhigonā hai
kahīñ duur jā kar
ḳhud ko ḳhud hī meñ Dubonā hai
kisī din apne jañgal se lipaT ke khul ke ronā hai
mere andar
ghana jangal
ghane anjaan jangal mein
lachak shaKHon ki wahshat mein
shajar ke patte patte par
munaqqash an-ginat sadiyan
zamanon ke badan uryan
azal ki zad, abad ki had
khanDar, minar aur gumbad
rawan la-samt tahziben
nae imkan ki sansen,
kabhi apni girafton mein
girafton se kabhi bahar
lahu, aafaq, ek dariya
badan lamhat ka sahra
jahan duniya bhaTakti thi
wo sab KHamosh aur tanha
isi sahra ke sannaTe ko naghmon se bhigona hai
kahin dur ja kar
KHud ko KHud hi mein Dubona hai
kisi din apne jangal se lipaT ke khul ke rona hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.