virana-e-KHayal
dasht-e-garm-o-sard meñ ye be-dayāroñ kā hujūm
be-ḳhabar māhaul se
chup-chāp
ḳhud se ham-kalām
chal rahā hai sar jhukā.e is tarah
jis tarah marghaT pe rūhoñ kā ḳhirām
zard chehroñ par hai sadiyoñ kī thakan
saañs lete haiñ kuchh aise
jaise hotī ho chubhan
hoñT par ġhamgīñ tabassum aur siine meñ bukā
har qadam par haDDiyoñ ke kaḌkaḌāne kī sadā
un kī āñkheñ
jin pe hukm-e-dīda-e-bīnā lagāte haiñ
devtāoñ kī basīrat kaañp jaa.e
zehn o dil kā fāsla tai karte karte haañp jaa.e
vus.at-e-arz-o-samā ik dīda-e-hairān hai
uf! ye melā kis qadar vīrān hai!!
dasht-e-garm-o-sard mein ye be-dayaron ka hujum
be-KHabar mahaul se
chup-chap
KHud se ham-kalam
chal raha hai sar jhukae is tarah
jis tarah marghaT pe ruhon ka KHiram
zard chehron par hai sadiyon ki thakan
sans lete hain kuchh aise
jaise hoti ho chubhan
honT par ghamgin tabassum aur sine mein buka
har qadam par haDDiyon ke kaDkaDane ki sada
un ki aankhen
jin pe hukm-e-dida-e-bina lagate hain
dewtaon ki basirat kanp jae
zehn o dil ka fasla tai karte karte hanp jae
wusat-e-arz-o-sama ek dida-e-hairan hai
uf! ye mela kis qadar viran hai!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.