Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

virani

Qamar Jameel

virani

Qamar Jameel

MORE BYQamar Jameel

    shahr galiyāñ ghuum rahī haiñ mere qadam ke saath

    aise safar meñ itnī thakan meñ kaise kaTegī raat

    ḳhvāb meñ jaise ghar se nikal ke ghuum rahā ho koī

    raat meñ aksar yuuñ bhī phirī hai tere liye ik zaat

    chand bagūle ḳhushk zamīñ par aur havā.eñ tez

    is sahrā meñ kaisī bahāreñ kaisī bharī barsāt

    dhuum machā.eñ bastī bastī soch rahe the aap

    dekhā kin kin vīrānoñ meñ le ke ga.e hālāt

    din meñ qayāmat ġham-ḳhvāroñ raat meñ yād-e-yār

    chand nafas mohlat meñ bhī itne kaThin din raat

    shahr ki galiyan ghum rahi hain mere qadam ke sath

    aise safar mein itni thakan mein kaise kaTegi raat

    KHwab mein jaise ghar se nikal ke ghum raha ho koi

    raat mein aksar yun bhi phiri hai tere liye ek zat

    chand bagule KHushk zamin par aur hawaen tez

    is sahra mein kaisi bahaaren kaisi bhari barsat

    dhum machaen basti basti soch rahe the aap

    dekha kin kin viranon mein le ke gae haalat

    din mein qayamat gham-KHwaron ki raat mein yaad-e-yar

    chand nafas ki mohlat mein bhi itne kaThin din raat

    Source :
    • Book : khvaab numaa (Pg. 26)
    • Author : qamar jameel
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now