virani
shab kī tārīk rah-guzāroñ meñ
sūkhte haiñ umiid ke dhāre
jal rahā hai shabāb kā ḳhirman
TūTte haiñ umiid ke taare
is fazā meñ muhīb paikar haiñ
dil kī bastī ujaḌtī jaatī hai
ab havā in hasīn rāhoñ par
ek ifrīt ban ke aatī hai
shab ki tarik rah-guzaron mein
sukhte hain umid ke dhaare
jal raha hai shabab ka KHirman
TuTte hain umid ke tare
is faza mein muhib paikar hain
dil ki basti ujaDti jati hai
ab hawa in hasin rahon par
ek ifrit ban ke aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.