wijdan
hijr-o-visāl ke beach bhī ik mausam hotā hai
jaise tumhārī gum-sum āñkheñ
jaise mirī adhūrī nazmeñ
jaise chhāchh kā ḳhālī pyāla
jaise chaak pe aadhā bartan
jaise kisī sayyāre par chhe maah kī raat
jaise kisī taḳhlīq ke lamhe karb kī lazzat
jaise ḳhvāb meñ vasl kā nashsha
jaise lahū meñ vahshī gītoñ kī sarshārī
jaise banjar kor zamīñ kī pyāsī kokh meñ numū kī ḳhvāhish
jaise garm garm hathelī beach kisī ke naam kī mehñdī
jaise korī narm dahaktī poroñ kī shītal āñkhoñ meñ
lams ke pahle ḳhvāb kī hairat
kuchh na samajhne aur samjhāne ke mausam kī kachchī bāteñ
sauñdhe jazbe
hijr-o-visāl ke beach bhī ik mausam hotā hai
jaise laḌkī ke siine meñ
pahlī raat kā mīThā ḳhauf aur chuTkī letā maddham dhaḌkā
jaise maañ ke pistānoñ se hoñT haTā kar
hañsne vaale bachche kī āsūda āñkheñ
jaise jañg ke ba.ad
luTe hue gaañv meñ tanhā būḌhā
bail kī joḌī
rahaT kā san san bahtā paanī
roñdī fasleñ
sarkañDoñ ke beach phaTe āñchal kī dhajjī
gahrā āsebī sannāTā
jaise kisī bansī kī dhun par
piir kabīr kā saada dohā
jaise bharī chaupāl kī chup ke beach
kahānī-kār ke lambe saañs kā vaqfa
hijr-o-visāl ke beach bhī ik mausam hotā hai
hijr-o-visal ke beach bhi ek mausam hota hai
jaise tumhaari gum-sum aankhen
jaise meri adhuri nazmen
jaise chhachh ka KHali pyala
jaise chaak pe aadha bartan
jaise kisi sayyare par chhe mah ki raat
jaise kisi taKHliq ke lamhe karb ki lazzat
jaise KHwab mein wasl ka nashsha
jaise lahu mein wahshi giton ki sarshaari
jaise banjar kor zamin ki pyasi kokh mein numu ki KHwahish
jaise garm garm hatheli beach kisi ke nam ki mehndi
jaise kori narm dahakti poron ki shital aankhon mein
lams ke pahle KHwab ki hairat
kuchh na samajhne aur samjhane ke mausam ki kachchi baaten
saundhe jazbe
hijr-o-visal ke beach bhi ek mausam hota hai
jaise laDki ke sine mein
pahli raat ka miTha KHauf aur chuTki leta maddham dhaDka
jaise man ke pistanon se honT haTa kar
hansne wale bachche ki aasuda aankhen
jaise jang ke baad
luTe hue ganw mein tanha buDha
bail ki joDi
rahaT ka san san bahta pani
rondi faslen
sarkanDon ke beach phaTe aanchal ki dhajji
gahra aasebi sannaTa
jaise kisi bansi ki dhun par
pir kabir ka sada doha
jaise bhari chaupal ki chup ke beach
kahani-kar ke lambe sans ka waqfa
hijr-o-visal ke beach bhi ek mausam hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.