wijdan
jab merī miTTī aur zamīn
sard safed chādar meñ lipTī
hijr kī rut meñ
sochoñ meñ ḳhizāñ kī zardī milā dī
maiñ ne harf-e-duā
qirtās-e-qalb par
terī yaad kī raushnā.ī se likhā
aur mohabbat ne
ashkoñ kī muhr lagā.ī
qubūliyat kā talabgār
merā junūn
kisī khaa.ī se
ek qadam kī duurī par khaḌā
āḳhirī samt
nahīñ dekh saktā
be-qarār dil
aur ruḳhsār kā til
āsūda ḳhayāl kī āmezish ko
miTTī ke murakkab se
judā karne kā nusḳha nahīñ jānte
magar āyat-e-vasl ke dard se
ye mo.ajiza huā
mujhe zarūrat aur fitrat se māvarā
mohabbat kī ma.anaviyyat kā
qutbī sitāra nazar aane lagā
jab meri miTTi aur zamin
sard safed chadar mein lipTi
hijr ki rut mein
sochon mein KHizan ki zardi mila di
main ne harf-e-dua
qirtas-e-qalb par
teri yaad ki raushnai se likha
aur mohabbat ne
ashkon ki muhr lagai
qubuliyat ka talabgar
mera junun
kisi khai se
ek qadam ki duri par khaDa
aaKHiri samt
nahin dekh sakta
be-qarar dil
aur ruKHsar ka til
aasuda KHayal ki aamezish ko
miTTi ke murakkab se
juda karne ka nusKHa nahin jaante
magar aayat-e-wasl ke dard se
ye moajiza hua
mujhe zarurat aur fitrat se mawara
mohabbat ki manawiyyat ka
qutbi sitara nazar aane laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.