ye khel guḌiyoñ ke
ret mahloñ ke
peḌ patthar pe naam likhne ke
tez sabqat ke
pesh-o-pas ke
jo sochiye to hañsī bhī aa.e
madār-e-hasrat bikhar rahā hai
badan kā kāñsā pighal rahā hai
ye ruuh bebāk phir rahī hai
tamām-tar justujū kī dhaḌkan
tamām-tar aarzū kā īñdhan
kahīñ kisī se ulajh rahī hai
tū apnī saarī tapish meñ us ko jalā rahī hai
gale kisī ko lagā liyā
tū supurdagī ke uruuj par jhilmilā rahī hai
mire pighalte hue badan ko
na.ī ḳhabar lā ke de rahī hai
ye khel guDiyon ke
ret mahlon ke
peD patthar pe nam likhne ke
tez sabqat ke
pesh-o-pas ke
jo sochiye to hansi bhi aae
madar-e-hasrat bikhar raha hai
badan ka kansa pighal raha hai
ye ruh bebak phir rahi hai
tamam-tar justuju ki dhaDkan
tamam-tar aarzu ka indhan
kahin kisi se ulajh rahi hai
tu apni sari tapish mein us ko jala rahi hai
gale kisi ko laga liya
tu supurdagi ke uruj par jhilmila rahi hai
mere pighalte hue badan ko
nai KHabar la ke de rahi hai
- Book : Naqsh Ber Aab (Pg. 81)
- Author : Scheherzade
- Publication : Abrarul Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.