jab añdhere se maiñ Dar jaatā huuñ ab bhī aksar
terī uñglī ko pakaḌne kā ḳhayāl aatā hai
muskurāhaT ho yā aa.heñ yā ḳhushī ke aañsū
har ik ehsās kī lazzat meñ samāyā hai tū
jab ubhartī hai rasoī se rasīlī ḳhushbū
jab kisī phuul ke chehre pe jamāl aatā hai
terī uñglī ko pakaḌne kā ḳhayāl aatā hai
merī āvāz zabāñ aur mirā andāz-e-bayāñ
mere ehsās o ḳhayālāt nazriya imkāñ
tū ne hī bāñdhe mire saath ke sāz-o-sāmāñ
phir bhī gar man meñ mire koī vabāl aatā hai
terī uñglī ko pakaḌne kā ḳhayāl aatā hai
sham-e-ummīd laraztī hai sahar se pahle
jab utartī hai thakan dil meñ safar se pahle
ḳhuun ho jaate haiñ armān asar se pahle
rāste meñ koī pechīda savāl aatā hai
terī uñglī ko pakaḌne kā ḳhayāl aatā hai
jab andhere se main Dar jata hun ab bhi aksar
teri ungli ko pakaDne ka KHayal aata hai
muskurahaT ho ya aahen ya KHushi ke aansu
har ek ehsas ki lazzat mein samaya hai tu
jab ubharti hai rasoi se rasili KHushbu
jab kisi phul ke chehre pe jamal aata hai
teri ungli ko pakaDne ka KHayal aata hai
meri aawaz zaban aur mera andaz-e-bayan
mere ehsas o KHayalat nazriya imkan
tu ne hi bandhe mere sath ke saz-o-saman
phir bhi gar man mein mere koi wabaal aata hai
teri ungli ko pakaDne ka KHayal aata hai
sham-e-ummid larazti hai sahar se pahle
jab utarti hai thakan dil mein safar se pahle
KHun ho jate hain arman asar se pahle
raste mein koi pechida sawal aata hai
teri ungli ko pakaDne ka KHayal aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.