wirasat
duur kisī bastī kī
nīm-tārīk koTharī meñ
ek tañg chārpā.ī pe
karāhat-zada kokh se
ġhaib kī madad ko pukārtī
aadhī chīḳh
puure jigar se paar huī to
nannhī chalā.ī
dil baiTh ga.e
maañ ufuq ke paar
jā chukī thī
rivāyāt kī qabr meñ
be-hisī kā kafan pahnā ke
use tahzīb se dafn kar diyā gayā
aziyyat meñ mubtalā zehnoñ ko
qismat kī golī de kar
sulā diyā gayā
aur vo nau-maulūd bachchī
apnī janm-jalī maañ se
nahīñ kah paa.ī
dekh
virāsat terā ḳhuun piine ke ba.ad
merī ek aur maañ
khojne nikal paḌī hai
dur kisi basti ki
nim-tarik koThari mein
ek tang chaarpai pe
karahat-zada kokh se
ghaib ki madad ko pukarti
aadhi chiKH
pure jigar se par hui to
nannhi chalai
dil baiTh gae
man ufuq ke par
ja chuki thi
riwayat ki qabr mein
be-hisi ka kafan pahna ke
use tahzib se dafn kar diya gaya
aziyyat mein mubtala zehnon ko
qismat ki goli de kar
sula diya gaya
aur wo nau-maulud bachchi
apni janm-jali man se
nahin kah pai
dekh
wirasat tera KHun pine ke baad
meri ek aur man
khojne nikal paDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.