wirasat
tum de ga.e ho
bahut saarī rivāyateñ
rusūmāt
ki shāyad
lāzim thā tum ko
mere muharrikāt
nazar-band kar denā
magar
mahsūr rūhoñ kā
soz-e-mātam
shigāf kar denā chāhtā hai
zañg-ālūd
baktar
ki dam ghoñTtīñ
badkār havā.eñ
rihā kar deñ
sahā.if!!
aur
numāyāñ ho
nūr-e-qadīm
ki jadd mere
añdherā bahut gahrā hai
duā karnā
tum de gae ho
bahut sari riwayaten
rusumat
ki shayad
lazim tha tum ko
mere muharrikat
nazar-band kar dena
magar
mahsur ruhon ka
soz-e-matam
shigaf kar dena chahta hai
zang-alud
baktar
ki dam ghonTtin
badkar hawaen
riha kar den
sahaif!!
aur
numayan ho
nur-e-qadim
ki jadd mere
andhera bahut gahra hai
dua karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.