wirasat
tumheñ tumhāre ghar se
binā notice ke nikāl diyā gayā
muqaddas kitāb kī bolī lagā.ī ga.ī
tasbīh ke daane bikher diye ga.e
jā-namāzeñ hamesha ke liye tah kar dī ga.iiñ
jaane itne barsoñ ik parā.e ghar meñ
kyoñ paḌe rahe tum
tumheñ to us dam hī chal denā thā
jab rātoñ raat ik chor ne
tumhāre āñgan meñ sendh lagā.ī thī
jab tumhāre ghar kī īñToñ par se
tumhārā naam miTāyā jā rahā thā
tumhāre mimbar ke nīche
qabl-e-masīh ke biij talāshe jā rahe the
tumhāre darvāze ke bāhar khaḌā
koī aur
tumhāre ghar meñ apnā ghar dekh rahā thā
us ne apne baap ke vāste
rāj-mahal chhoḌ diyā thā
tum ne apne bachchoñ kī ḳhātir
apnā ghar kyoñ nahīñ tyaag diyā
jo tumhāre ghar ke malbe par
apne apne naam kī taḳhtī lagānā chāhte haiñ
un se kah do
ki tum ne aur is sūryavanshi ne
unheñ apnī virāsat se
kab kā aaq kar diyā hai
tumhein tumhaare ghar se
bina notice ke nikal diya gaya
muqaddas kitab ki boli lagai gai
tasbih ke dane bikher diye gae
ja-namazen hamesha ke liye tah kar di gain
jaane itne barson ek parae ghar mein
kyon paDe rahe tum
tumhein to us dam hi chal dena tha
jab raaton raat ek chor ne
tumhaare aangan mein sendh lagai thi
jab tumhaare ghar ki inTon par se
tumhaara nam miTaya ja raha tha
tumhaare mimbar ke niche
qabl-e-masih ke bij talashe ja rahe the
tumhaare darwaze ke bahar khaDa
koi aur
tumhaare ghar mein apna ghar dekh raha tha
us ne apne bap ke waste
raj-mahal chhoD diya tha
tum ne apne bachchon ki KHatir
apna ghar kyon nahin tyag diya
jo tumhaare ghar ke malbe par
apne apne nam ki taKHti lagana chahte hain
un se kah do
ki tum ne aur is suryawanshi ne
unhen apni wirasat se
kab ka aaq kar diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.