wirus
masīh-e-vaqt tum batāo kyā huā
zabāñ pe ye kasīlā-pan kahāñ se aa gayā
zarā sī der ke liye palak jhapak ga.ī
to raakh kis tarah jhaḌī
sunā hai duur des se
kuchh aise virus hamāre sāhiloñ pe aa ga.e
jin ke tāb-kār-e-sahar ke liye
amrit aur zahr ek haiñ
ab kisī ke darmiyān koī rābta nahīñ
kisī davā kā dard se koī vāsta nahīñ
ham havā kī mauj mauj se
dard khīñchte haiñ chhoḌte haiñ saañs kī tarah
lahū kī ek ek buuñd zaḳhm ban ga.ī
ragoñ meñ jaise bad-duā.eñ tairtī haiñ
phāñs kī tarah
masīh-e-vaqt tum batāo kyā huā
dev ilm ke charāġh kā
kyuuñ bhalā biphar gayā
dhuāñ dhuāñ bikhar gayā
suno ki chīḳhtā hai kaam kaam
koī kaam
jaao sāhiloñ kī samt ho sake to rok lo
is na.e azaab ko
nāḳhudā kī āḳhirī shikast tak
samundaroñ kī ret chhānte raho
masih-e-waqt tum batao kya hua
zaban pe ye kasila-pan kahan se aa gaya
zara si der ke liye palak jhapak gai
to rakh kis tarah jhaDi
suna hai dur des se
kuchh aise wirus hamare sahilon pe aa gae
jin ke tab-kar-e-sahar ke liye
amrit aur zahr ek hain
ab kisi ke darmiyan koi rabta nahin
kisi dawa ka dard se koi wasta nahin
hum hawa ki mauj mauj se
dard khinchte hain chhoDte hain sans ki tarah
lahu ki ek ek bund zaKHm ban gai
ragon mein jaise bad-duaen tairti hain
phans ki tarah
masih-e-waqt tum batao kya hua
dew ilm ke charagh ka
kyun bhala biphar gaya
dhuan dhuan bikhar gaya
suno ki chiKHta hai kaam kaam
koi kaam
jao sahilon ki samt ho sake to rok lo
is nae azab ko
naKHuda ki aaKHiri shikast tak
samundaron ki ret chhante raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.