visal
ajiib vo sail thā ki jis ne
kanār-e-dariyā kī sarhadoñ meñ na.e izāfe kiye haiñ taaza zamīn
ābād kar gayā hai
ajiib vo dhuup thī jo pesh-az-sahar kī saa.at ke ghar meñ utrī
to jaise so.e hue laboñ par
nishān-e-ulfat lagā ga.ī hai
ajiib lamha thā jis ne sar par chamakte sūraj ke garm raste pe
pā-barahna safar kiyā hai
vo dhuup tere jamāl kī thī
vo sail mere ḳhayāl kā thā
vo lamha tere visāl kā thā
ajib wo sail tha ki jis ne
kanar-e-dariya ki sarhadon mein nae izafe kiye hain taza zamin
aabaad kar gaya hai
ajib wo dhup thi jo pesh-az-sahar ki saat ke ghar mein utri
to jaise soe hue labon par
nishan-e-ulfat laga gai hai
ajib lamha tha jis ne sar par chamakte suraj ke garm raste pe
pa-barahna safar kiya hai
wo dhup tere jamal ki thi
wo sail mere KHayal ka tha
wo lamha tere visal ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.