jab kisī tamtamāte hue jism kā sarsarātā huā pairahan
ras-bhare santare ke chamakdār chhilke kī mānind utarne lagegā
dhundalke meñ so.e hue narm basar kī nīndeñ
kisī soñdhī ḳhushbū kī jhankār se jab uchaT jā.eñgī
aur uljhī huī garm sāñsoñ kī maujoñ pe meñ
be-sahārā bhaTaktī huī naav kī tarah bahne lagūñgā
yaqīñ hai mujhe
tum havāoñ kī poshāk pahne hue
band kamre kī jannat meñ dar aaogī
ajnabī muskurāte hue jism ke ek ek naqsh meñ aap hī
aap Dhal jāogī
duur ufuq ke qarīñ
vo parinde fazāoñ meñ āhista āhista tahlīl ho jā.eñge
jab kisi tamtamate hue jism ka sarsaraata hua pairahan
ras-bhare santare ke chamakdar chhilke ki manind utarne lagega
dhundalke mein soe hue narm basar ki ninden
kisi sondhi KHushbu ki jhankar se jab uchaT jaengi
aur uljhi hui garm sanson ki maujon pe mein
be-sahaara bhaTakti hui naw ki tarah bahne lagunga
yaqin hai mujhe
tum hawaon ki poshak pahne hue
band kamre ki jannat mein dar aaogi
ajnabi muskuraate hue jism ke ek ek naqsh mein aap hi
aap Dhal jaogi
dur ufuq ke qarin
wo parinde fazaon mein aahista aahista tahlil ho jaenge
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 27)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.