visal ki tisri samt
Interesting Fact
Dedicated to Meeraji
ma.azarat chāhtā huuñ dost
maiñ ab intizār nahīñ kartā
balki ḳhud chal paḌtā huuñ apnī taraf
ek poshīda chaap ke ta.āqub meñ
ḳhud se bāhar nikaltā huuñ
aur apne hī jaise kisī hujūm kā hissa ban kar
apne vajūd par iktifā kartā huuñ
apnī amiiq raushnī se nayā janm lete hue
ḳhud kī bunat meñ bejoḌ hone kī kāvish
rā.egāñ nahīñ jaatī
suno!
samay ke bhed-bhāo meñ apnā taḳhmīna lagāte hue
zaat kī jamā-pūñjī meñ se
maiñ tumheñ apnī hissiyāt se mustarad nahīñ kartā
bisāt bhar sabr aur ek muTThī visāl ke evaz
maiñ tumheñ kashīd kartā huuñ apne atrāf se
aur gunjā.ish paidā kartā huuñ tumhārī mezbānī ke liye
kisī aur jihat se apne-āp meñ
lekin ma.azarat
maiñ intizār nahīñ kar saktā
apnī ragoñ meñ bahte hue us dukh ke pighalne kā
jo apne bahāv meñ merī tavajjoh bahā le jā saktā hai
apne saath
maiñ tai-shuda guzargāhoñ kā musāfir nahīñ
mujhe to har imkān se guzar kar aanā hai tumhārī samt
aur haañ...
maiñ to apnā bhī intizār nahīñ kartā huuñ ab!!!
mazarat chahta hun dost
main ab intizar nahin karta
balki KHud chal paDta hun apni taraf
ek poshida chap ke taaqub mein
KHud se bahar nikalta hun
aur apne hi jaise kisi hujum ka hissa ban kar
apne wajud par iktifa karta hun
apni amiq raushni se naya janm lete hue
KHud ki bunat mein bejoD hone ki kawish
raegan nahin jati
suno!
samay ke bhed-bhao mein apna taKHmina lagate hue
zat ki jama-punji mein se
main tumhein apni hissiyat se mustarad nahin karta
bisat bhar sabr aur ek muTThi visal ke ewaz
main tumhein kashid karta hun apne atraf se
aur gunjaish paida karta hun tumhaari mezbani ke liye
kisi aur jihat se apne-ap mein
lekin mazarat
main intizar nahin kar sakta
apni ragon mein bahte hue us dukh ke pighalne ka
jo apne bahaw mein meri tawajjoh baha le ja sakta hai
apne sath
main tai-shuda guzargahon ka musafir nahin
mujhe to har imkan se guzar kar aana hai tumhaari samt
aur han
main to apna bhi intizar nahin karta hun ab!!!
- Book : Aik Qadeem Khayal Ki Nigrani Mein (Pg. 71)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.