visal
vo nahīñ thī to dil ik shahr-e-vafā thā jis meñ
us ke hoñToñ ke tasavvur se tapish aatī thī
us ke inkār pe bhī phuul khile rahte the
us ke anfās se bhī sham.a jalī jaatī thī
din is ummīd pe kaTtā thā ki din Dhalte hī
us ne kuchh der ko mil lene kī mohlat dī hai
uñgliyāñ barq-zadā rahtī thiiñ jaise us ne
apne ruḳhsāroñ ko chhūne kī ijāzat dī hai
us se ik lamha alag rah ke junūñ hotā thā
jī meñ thī us ko na pā.eñge to mar jā.eñge
vo nahīñ hai to ye be-nūr zamāna kyā hai
tīrgī meñ kise DhūñDeñge kidhar jā.eñge
phir huā ye ki usī aag kī aisī rau meñ
ham to jalte the magar us kā nasheman bhī jalā
bijliyāñ jis kī kanīzoñ meñ rahā kartī thiiñ
dekhne vāloñ ne dekhā ki vo ḳhirman bhī jalā
ik zulaiḳhā-e-ḳhud-āgāh kā dāman bhī jalā
wo nahin thi to dil ek shahr-e-wafa tha jis mein
us ke honTon ke tasawwur se tapish aati thi
us ke inkar pe bhi phul khile rahte the
us ke anfas se bhi shama jali jati thi
din is ummid pe kaTta tha ki din Dhalte hi
us ne kuchh der ko mil lene ki mohlat di hai
ungliyan barq-zada rahti thin jaise us ne
apne ruKHsaron ko chhune ki ijazat di hai
us se ek lamha alag rah ke junun hota tha
ji mein thi us ko na paenge to mar jaenge
wo nahin hai to ye be-nur zamana kya hai
tirgi mein kise DhunDenge kidhar jaenge
phir hua ye ki usi aag ki aisi rau mein
hum to jalte the magar us ka nasheman bhi jala
bijliyan jis ki kanizon mein raha karti thin
dekhne walon ne dekha ki wo KHirman bhi jala
ek zulaiKHa-e-KHud-agah ka daman bhi jala
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 157)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.