visaliya
sab bārisheñ ho ke tham chukī thiiñ
rūhoñ meñ dhanak utar rahī thī
maiñ ḳhvāb meñ baat kar rahā thā
vo niiñd meñ pyaar kar rahī thī
ahvāl hī aur ho rahe the
lazzat meñ visāl ro rahe the
bosoñ meñ dhule-dhulā.e donoñ
nashshe meñ lipaT ke so rahe the
chhoTā sā hasīn sā vo kamra
ik ālam-e-ḳhvāb ho rahā thā
ḳhushbū se gulāb ho rahā thā
mastī se sharāb ho rahā thā
vo chhāñv sā chāñdnī sā bistar
ham rañg nahā rahe the jis par
yuuñ thā ki ham apnī zaat ke andar
the apnā hī ek aur manzar
sairāb mohabbatoñ ke dhāre
bāham the vajūd ke kināre
mauzū-e-suḳhan, suḳhan the saare
aalam hī ajiib the hamāre
jaage vo lahū meñ silsile phir
tan man ke vahī the zā.iqe phir
tham tham ke baras baras ga.e phir
pātāl tak ho ga.e hare phir
jaarī thā vo raqs-e-ham-kinārī
niklī na.ī sub.h kī savārī
aisā lagā kā.enāt saarī
is aan to hai faqat hamārī
jab chāñd mirā nahā ke niklā
maiñ dil ko diyā banā ke niklā
kashkol-e-duā uThā ke niklā
shā.er thā sadā lagā ke niklā
dariyā vo samundaroñ se gahre
vo ḳhvāb gulāb aise chehre
sab zāviyoñ ho ga.e sunahre
ā.īnoñ meñ jab vo aa ke Thahre
sab barishen ho ke tham chuki thin
ruhon mein dhanak utar rahi thi
main KHwab mein baat kar raha tha
wo nind mein pyar kar rahi thi
ahwal hi aur ho rahe the
lazzat mein visal ro rahe the
boson mein dhule-dhulae donon
nashshe mein lipaT ke so rahe the
chhoTa sa hasin sa wo kamra
ek aalam-e-KHwab ho raha tha
KHushbu se gulab ho raha tha
masti se sharab ho raha tha
wo chhanw sa chandni sa bistar
hum rang naha rahe the jis par
yun tha ki hum apni zat ke andar
the apna hi ek aur manzar
sairab mohabbaton ke dhaare
baham the wajud ke kinare
mauzu-e-suKHan, suKHan the sare
aalam hi ajib the hamare
jage wo lahu mein silsile phir
tan man ke wahi the zaiqe phir
tham tham ke baras baras gae phir
patal tak ho gae hare phir
jari tha wo raqs-e-ham-kinari
nikli nai subh ki sawari
aisa laga kaenat sari
is aan to hai faqat hamari
jab chand mera naha ke nikla
main dil ko diya bana ke nikla
kashkol-e-dua uTha ke nikla
shaer tha sada laga ke nikla
dariya wo samundaron se gahre
wo KHwab gulab aise chehre
sab zawiyon ho gae sunahre
aainon mein jab wo aa ke Thahre
- Book : Veeran sarai ka diya (Pg. 109)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.