visaliya
dhartī sulag rahī thī ākāsh jal rahā thā
be-rañg thiiñ fazā.eñ mausam badal rahā thā
ḳhushbū mire badan ko gulzār kar rahī thī
vo kaif-e-be-ḳhudī meñ kaliyāñ masal rahā thā
karvaT badal rahe the armān mere dil ke
jab chāñdnī kā manzar dariyā meñ Dhal rahā thā
jalvoñ kā raqs maiñ ne msatānā-vār dekhā
bint-e-inab kā jaane dil kyuuñ machal rahā thā
aisā bhī ek aalam guzrā 'ḳhayāl' mujh par
maiñ us kī justujū meñ kāñToñ pe chal rahā thā
dharti sulag rahi thi aakash jal raha tha
be-rang thin fazaen mausam badal raha tha
KHushbu mere badan ko gulzar kar rahi thi
wo kaif-e-be-KHudi mein kaliyan masal raha tha
karwaT badal rahe the arman mere dil ke
jab chandni ka manzar dariya mein Dhal raha tha
jalwon ka raqs main ne msatana-war dekha
bint-e-inab ka jaane dil kyun machal raha tha
aisa bhi ek aalam guzra 'KHayal' mujh par
main us ki justuju mein kanTon pe chal raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.