wish-kanya
kis jaTā-dhārī show se sīkhā thā
aur kab ab ye baat yaad nahīñ
nāg-viddyā kā gaan sāñpoñ ko
bas meñ karne kā fan hamārā thā
nāg-svāmī the zahr ko tiryāq
meñ badalne kā ilm rakhte the
Dar se nivḌhā.e apne nāg-phanī
saañp ḳhud māñgte the ham se panāh
nāg-viddyā kā saarā gyaan liye
ham kamāl-e-hunar ke mālik the
lekin ik din ajiib baat huī
ek vish-kanyā pyaar se aa kar
yuuñ gale lag ga.ī ki saarā gyaan
bas ko amrit meñ zahr ko tiryāq
maiñ badalne kā ilm sab mantar
bhuul baiThe ki us ke hoñToñ kā
zahr āb-e-hayāt thā aur ham
laakh janmoñ kī pyaas rakhte the
kis jaTa-dhaari show se sikha tha
aur kab ab ye baat yaad nahin
nag-widdya ka gan sanpon ko
bas mein karne ka fan hamara tha
nag-swami the zahr ko tiryaq
mein badalne ka ilm rakhte the
Dar se niwDhae apne nag-phani
sanp KHud mangte the hum se panah
nag-widdya ka sara gyan liye
hum kamal-e-hunar ke malik the
lekin ek din ajib baat hui
ek wish-kanya pyar se aa kar
yun gale lag gai ki sara gyan
bas ko amrit mein zahr ko tiryaq
main badalne ka ilm sab mantar
bhul baiThe ki us ke honTon ka
zahr aab-e-hayat tha aur hum
lakh janmon ki pyas rakhte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.