wo aalam KHwab ka tha
vo aalam ḳhvāb kā thā
so rahe the sab
magar ik vo
akelā jaag uThā thā
kuchh aise niiñd TuuTī thī
ki har har uzv be-kal thā
badan saarā
taġhayyur kī talab meñ
māhī-be-āb kī sūrat taḌaptā thā
junūn-o-be-qarārī ne
ragoñ meñ bijliyāñ bhar diiñ
hazāroñ saal se rakkhe hue patthar ko sarkāyā
vo apne ġhaar se bāhar nikal aayā
nigāheñ raushnī se chaar ho kar juuñ hī palTīñ
us ne ḳhud ko
zindagī se vasl ke imkān meñ paayā
bahut lambā bahut dushvār rasta tai kiyā us ne
na jaane kitne dariyā koh-o-sahrā darmiyāñ aa.e
tilism-o-haft-ḳhvāñ aa.e
tab us shahr-e-buland-o-bāla-o-pur-kaif meñ pahuñchā
jahāñ insān aur haivān sab bedār rahte the
baḌe be-ḳhār hote the
zabāñ thī suukh ke kāñTā
papoTe phuul ke kuppā
ki us par jāgte rahne kā aisā shauq ġhālib thā
badan vahshat kā tālib thā
magar ye kyā
use ma.alūm ye kab thā
zarā jo muḳhtalif ho
shahr-e-bedārāñ meñ us par kyā guzartī hai
dukāneñ jin kī ūñchī thiiñ
use muḳhbir samajhte the
jo māsha-ḳhor the pherī lagāte the
use pāgal batāte the
vahāñ bāzār meñ koī use kuchh bhī na detā thā
jo sikke paas the us ke unheñ koī na letā thā
vo vāpas jā na saktā thā
ḳhudā-e-lam-yazal ke hukm se
us ġhaar kā muñh band thā phir se
ajab be-yāvarī nā-āshnā.ī thī
sazā mahz us ne
aañkh khul jaane kī paa.ī thī
wo aalam KHwab ka tha
so rahe the sab
magar ek wo
akela jag uTha tha
kuchh aise nind TuTi thi
ki har har uzw be-kal tha
badan sara
taghayyur ki talab mein
mahi-be-ab ki surat taDapta tha
junun-o-be-qarari ne
ragon mein bijliyan bhar din
hazaron sal se rakkhe hue patthar ko sarkaya
wo apne ghaar se bahar nikal aaya
nigahen raushni se chaar ho kar jun hi palTin
us ne KHud ko
zindagi se wasl ke imkan mein paya
bahut lamba bahut dushwar rasta tai kiya us ne
na jaane kitne dariya koh-o-sahra darmiyan aae
tilism-o-haft-KHwan aae
tab us shahr-e-buland-o-baala-o-pur-kaif mein pahuncha
jahan insan aur haiwan sab bedar rahte the
baDe be-KHar hote the
zaban thi sukh ke kanTa
papoTe phul ke kuppa
ki us par jagte rahne ka aisa shauq ghaalib tha
badan wahshat ka talib tha
magar ye kya
use malum ye kab tha
zara jo muKHtalif ho
shahr-e-bedaran mein us par kya guzarti hai
dukanen jin ki unchi thin
use muKHbir samajhte the
jo masha-KHor the pheri lagate the
use pagal batate the
wahan bazar mein koi use kuchh bhi na deta tha
jo sikke pas the us ke unhen koi na leta tha
wo wapas ja na sakta tha
KHuda-e-lam-yazal ke hukm se
us ghaar ka munh band tha phir se
ajab be-yawari na-ashnai thi
saza mahz us ne
aankh khul jaane ki pai thi
- Book : Ishq ki taqveem me.n (Pg. 187)
- Author : HARIS KHALEEQ
- Publication : Hoori Nurani, Maktaba Daniyal, Victoria Chaimber 2 (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.