wo aankhen kanwal banin
vo āñkheñ kañval banīñ aur ḳhushk huiiñ
aur kañval banīñ aur ḳhushk huiiñ
koī dekhne aayā
āñkheñ aan kī aan meñ kañval banīñ aur ḳhushk huiiñ
aur daldal phailā simaT gayā
aur raat kī chādar phail ga.ī
koī dekhne aayā
aan kī aan meñ daldal phailā simaT gayā
ab hāthī daañt ke rasiyā aa.eñ to aa.eñ
tum ghar kī mailī chādar le kar aa.e the
aur jhāḌī meñ chiḌiyoñ ke anDe DhūñDte the
aur ḳhush the
aur anDe haath hī haath meñ TuuT ga.e
tum ro.e the
aur rone vaale ghar jā kar bhī rote haiñ
vo āñkheñ kañval banīñ aur ḳhushk huiiñ
aur kañval banīñ aur ḳhushk huiiñ
kal bārish kaisī tez huī
nit bādal phaile diye jale
maiñ chādar oḌh ke baiTh gayā
jo chādar oḌh ke baiTh gayā so chādar oḌh ke baiTh gayā
phir patthar jaisā din niklā
vo āñkheñ kañval banīñ aur ḳhushk huiiñ aur kañval banīñ aur ḳhushk huiiñ
tum jañgal jā kar dekhoge
jab patte miTTī meñ dab jaate haiñ
miTTī ke ho jaate haiñ
ab pattoñ kā kyā ronā
aur āñkhoñ kā kyā ronā
aur daldal kā kyā ronā
vo hāthī daañt ke rasiyā to ā.eñge
maiñ kandhā dene chalā kisī ko
aur kahīñ ko chal niklā
ab jogī banūñ yā sher kahūñ
ab āñkheñ kañval baneñ yā bujh jaa.eñ
ab daldal phaile yā simTe
ab daldal kā kyā ronā
ab āñkhoñ kā kyā ronā
ab rone vāloñ par rone vāloñ kā kyā ronā
wo aankhen kanwal banin aur KHushk huin
aur kanwal banin aur KHushk huin
koi dekhne aaya
aankhen aan ki aan mein kanwal banin aur KHushk huin
aur daldal phaila simaT gaya
aur raat ki chadar phail gai
koi dekhne aaya
aan ki aan mein daldal phaila simaT gaya
ab hathi dant ke rasiya aaen to aaen
tum ghar ki maili chadar le kar aae the
aur jhaDi mein chiDiyon ke anDe DhunDte the
aur KHush the
aur anDe hath hi hath mein TuT gae
tum roe the
aur rone wale ghar ja kar bhi rote hain
wo aankhen kanwal banin aur KHushk huin
aur kanwal banin aur KHushk huin
kal barish kaisi tez hui
nit baadal phaile diye jale
main chadar oDh ke baiTh gaya
jo chadar oDh ke baiTh gaya so chadar oDh ke baiTh gaya
phir patthar jaisa din nikla
wo aankhen kanwal banin aur KHushk huin aur kanwal banin aur KHushk huin
tum jangal ja kar dekhoge
jab patte miTTi mein dab jate hain
miTTi ke ho jate hain
ab patton ka kya rona
aur aankhon ka kya rona
aur daldal ka kya rona
wo hathi dant ke rasiya to aaenge
main kandha dene chala kisi ko
aur kahin ko chal nikla
ab jogi banun ya sher kahun
ab aankhen kanwal banen ya bujh jaen
ab daldal phaile ya simTe
ab daldal ka kya rona
ab aankhon ka kya rona
ab rone walon par rone walon ka kya rona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.