wo arsa jo duri mein guzra
maiñ kaise batā.ūñ
vo arsa jo duurī meñ guzrā
huzūrī meñ guzrā
maiñ us kī vazāhat nahīñ kar sakūñgā
sar-e-shām hī
koī lā-shakl kuut
mujhe apne narġhe meñ rakhtī
mazā letī mere namak kā
kabhī merī shīrīnī chkhtī
kabhī mujh ko qatre
kabhī mujh ko zarre meñ tabdīl kartī
kabhī mujh ko hai.at meñ laatī
kabhī merī hai.at ko tahlīl kartī
adhūrā samajhtī
kabhī mujh ko puurā samajhtī
usī gomago meñ mujhe toḌ detī
mirī TukḌiyoñ ko milātī
mujhe joḌ detī
maiñ kaise batā.ūñ
ki jo kaifiyat mujh pe guzrī
asātīrī hargiz nahīñ thī
kisī dev-mālā se
sā gā se
jā tak kahānī se
us kā ilāqa nahīñ thā
kisī ḳhvāb kā ye vaqūa nahīñ thā
na ye vāhima thā
jise aql tashkīl detī hai
hairat kā varta
hisār-e-nafas yā nazar kā karishma
koī vārida
paas anfās tanvīm yā mismirism
koī habs-e-dam
jazb-o-mastī
kisī sant-sādhū kī shaktī
kisī suufī sālik kā ilhām
sarsām
vahshat kī lai
vajd yā haal sī koī shai
ek shīshe ke andar koī chiiz
burrāq parde pe raqsāñ sī
fānūs-e-gardāñ sī
tasvīrī hargiz nahīñ thī
asātīrī hargiz nahīñ thī
maiñ kaise batā.ūñ
ki jo kaifiyat mujh pe guzrī
maiñ us kaifiyat meñ dobāra
kisī taur shirkat nahīñ kar sakūñgā
vo arsa jo duurī meñ guzrā
huzūrī meñ guzrā
maiñ us kī vazāhat nahīñ kar sakūñgā
main kaise bataun
wo arsa jo duri mein guzra
huzuri mein guzra
main us ki wazahat nahin kar sakunga
sar-e-sham hi
koi la-shakl kut
mujhe apne narghe mein rakhti
maza leti mere namak ka
kabhi meri shirini chkhti
kabhi mujh ko qatre
kabhi mujh ko zarre mein tabdil karti
kabhi mujh ko haiat mein lati
kabhi meri haiat ko tahlil karti
adhura samajhti
kabhi mujh ko pura samajhti
usi gomago mein mujhe toD deti
meri TukDiyon ko milati
mujhe joD deti
main kaise bataun
ki jo kaifiyat mujh pe guzri
asatiri hargiz nahin thi
kisi dew-mala se
sa ga se
ja tak kahani se
us ka ilaqa nahin tha
kisi KHwab ka ye waqua nahin tha
na ye wahima tha
jise aql tashkil deti hai
hairat ka warta
hisar-e-nafas ya nazar ka karishma
koi warida
pas anfas tanwim ya mismirism
koi habs-e-dam
jazb-o-masti
kisi sant-sadhu ki shakti
kisi sufi salik ka ilham
sarsam
wahshat ki lai
wajd ya haal si koi shai
ek shishe ke andar koi chiz
burraq parde pe raqsan si
fanus-e-gardan si
taswiri hargiz nahin thi
asatiri hargiz nahin thi
main kaise bataun
ki jo kaifiyat mujh pe guzri
main us kaifiyat mein dobara
kisi taur shirkat nahin kar sakunga
wo arsa jo duri mein guzra
huzuri mein guzra
main us ki wazahat nahin kar sakunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.