wo aur main
jab zamīñ ke pyāse hoñT
buuñd buuñd ko tarse
us kī kokh ne jab bhī
sabz bachche janñe kī aarzū meñ lab khole
tab shafīq bādal ne
apnī jaañ ke amrit se
is zamīñ ke siine meñ
qatra qatra ras gholā
be-badan darāḌoñ se
zindagī ugā Daalī
haañ ye sab huā lekin
koī aa ke bādal se
sirf is qadar pūchhe
terī pyaas kā dozaḳh
sard hai ki jaltā hai
jab zamin ke pyase honT
bund bund ko tarse
us ki kokh ne jab bhi
sabz bachche janne ki aarzu mein lab khole
tab shafiq baadal ne
apni jaan ke amrit se
is zamin ke sine mein
qatra qatra ras ghola
be-badan daraDon se
zindagi uga Dali
han ye sab hua lekin
koi aa ke baadal se
sirf is qadar puchhe
teri pyas ka dozaKH
sard hai ki jalta hai
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 496)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.