wo aurat
ghar kī izzat kā bharam rakhtī rahī vo aurat
zindagī jiitī rahī apnī sañbhāle hurmat
apne bachchoñ ke liye jiitī rahī thī ab tak
zahr hālāt kā ḳhud piitī rahī thī ab tak
umr-bhar zulm-o-sitam hañste hue sahtī rahī
apne hī aap se guzrī jo use kahtī rahī
sirf ik chhat hī milī pyaar kā saaya na milā
mutma.in ziist kā ġhuncha na kabhī dil kā khilā
bāl-bachche bhī javāñ ho ke hue begāne
maañ pe kyā biit ga.ī us se rahe anjāne
lekin ye tauq-e-ġhulāmī use ab toḌnā hai
vaqt ke dhāre ko apnī hī taraf moḌnā hai
ab jiyegī vo yahāñ zaat kī ḳhātir apnī
ek din ḳhud se mulāqāt kī ḳhātir apnī
apnī pahchān pe paikar pe ye dil vāregī
hārtī aa.ī hai ab aur nahīñ hāregī
ghar ki izzat ka bharam rakhti rahi wo aurat
zindagi jiti rahi apni sanbhaale hurmat
apne bachchon ke liye jiti rahi thi ab tak
zahr haalat ka KHud piti rahi thi ab tak
umr-bhar zulm-o-sitam hanste hue sahti rahi
apne hi aap se guzri jo use kahti rahi
sirf ek chhat hi mili pyar ka saya na mila
mutmain zist ka ghuncha na kabhi dil ka khila
baal-bachche bhi jawan ho ke hue begane
man pe kya bit gai us se rahe anjaane
lekin ye tauq-e-ghulami use ab toDna hai
waqt ke dhaare ko apni hi taraf moDna hai
ab jiyegi wo yahan zat ki KHatir apni
ek din KHud se mulaqat ki KHatir apni
apni pahchan pe paikar pe ye dil waregi
haarti aai hai ab aur nahin haaregi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.