wo aurat
maiñ ne us aurat kā jism bistar-band meñ lapeT diyā
bistar-band ko railway station ke māl-godām meñ rakhvā diyā
sāmān kī rasīd ko apnī billī ke duudh meñ Daal diyā
jo us kāġhaz ke saare lafz chaaT ga.ī
maiñ ne kamre meñ bikhrā lahū sameT kar
dilhanoñ kī maañg meñ bhar diyā
us ke kapḌe chhīthḌe banā kar
mazāroñ ke daraḳhtoñ par bāñdh diye
ki un ke gird pherā lagāne vaalī bāñjh auratoñ ke peT meñ phuul ugeñ
us kā naam shahr ke daraḳhtoñ ke tanoñ par khod diyā
ki mausamoñ kī havā.eñ har daf.a use chūmtī raheñ
aur daraḳhtoñ kī khaal vaqt ke saath us par hijāb le aa.e
us ke saath guzrā vaqt, tasvīreñ, yādeñ
ek sandūq meñ band kar ke godām meñ rakh diiñ
ki vaqt in ko dīmak kī tarah chaaT jā.egā
kamre meñ paḌā cleopatra kā but us kī aur madonna kī tasvīr
borī meñ band kar ke dariyā meñ pheñk diye
zehn kī tape se us kā har naqsh
nāḳhunoñ se khurach diyā
hāthoñ ko dettol se dho diyā
kyā mujhe us se bahut mohabbat thii?
main ne us aurat ka jism bistar-band mein lapeT diya
bistar-band ko railway station ke mal-godam mein rakhwa diya
saman ki rasid ko apni billi ke dudh mein Dal diya
jo us kaghaz ke sare lafz chaT gai
main ne kamre mein bikhra lahu sameT kar
dilhanon ki mang mein bhar diya
us ke kapDe chhithDe bana kar
mazaron ke daraKHton par bandh diye
ki un ke gird phera lagane wali banjh auraton ke peT mein phul ugen
us ka nam shahr ke daraKHton ke tanon par khod diya
ki mausamon ki hawaen har dafa use chumti rahen
aur daraKHton ki khaal waqt ke sath us par hijab le aae
us ke sath guzra waqt, taswiren, yaaden
ek sanduq mein band kar ke godam mein rakh din
ki waqt in ko dimak ki tarah chaT jaega
kamre mein paDa cleopatra ka but us ki aur madonna ki taswir
bori mein band kar ke dariya mein phenk diye
zehn ki tape se us ka har naqsh
naKHunon se khurach diya
hathon ko dettol se dho diya
kya mujhe us se bahut mohabbat thi?
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 66)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.