wo baat
Interesting Fact
(Paris, 10th November, 1984)
vo baat ga.ī
ab raat
bharī barsāt
barastī jhaḌī kī Tap-Tap
raag nahīñ
jo aur lipaT kar suneñ
muamme bhed
laboñ ke phuul
machal ke khileñ
lahaktī aag pe
ThanDī barf
nashīle barf
pahroñ kaTeñ
ab chāñd kī chham-chham lahar
chamakte shauq
umaDte sail kā nasha nahīñ
ki jis kī khoj meñ
sūkhī ret pe
mīloñ
raat ga.e tak chaleñ
ab ḳhauf
pareshāñ zulf
dar-o-dīvār pe
larzāñ saa.e
meñ jaise reñg rahā hai
umr guzar ga.ī jānāñ
wo baat gai
ab raat
bhari barsat
barasti jhaDi ki Tap-Tap
rag nahin
jo aur lipaT kar sunen
muamme bhed
labon ke phul
machal ke khilen
lahakti aag pe
ThanDi barf
nashile barf
pahron kaTen
ab chand ki chham-chham lahar
chamakte shauq
umaDte sail ka nasha nahin
ki jis ki khoj mein
sukhi ret pe
milon
raat gae tak chalen
ab KHauf
pareshan zulf
dar-o-diwar pe
larzan sae
mein jaise reng raha hai
umr guzar gai jaanan
- Book : Naqsh Ber Aab (Pg. 52)
- Author : Abrarul Hasan
- Publication : Scheherzade
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.