wo bakra phir akela paD gaya hai
vo bakrā phir akelā paḌ gayā hai
ki mirā haath bhī Doñge meñ achchhī boTiyoñ ko DhūñDtā hai
vahī bakrā
khaḌā rakkhā gayā hai jis ko kone meñ nigāhoñ se chhupā kar
vo jis kī zindagī hai munhasir is baat par
ki ham khā.eñge kitnā
aur kitnā chhoḌ deñge bas yuuñ hī apnī paleToñ meñ
abhī kuchh der pahle maiñ khaḌā thā paas jis ke
aur jis ke zāviye se dekh kar mahfil ko
āñkheñ DabDabā aa.ī thiiñ merī
magar vo pal kabhī kā jā chukā thā
ki ab huuñ mez par maiñ
aur merā haath bhī Doñge meñ achchhī boTiyoñ ko DhūñDtā hai
vo bakrā phir akelā paḌ gayā hai
wo bakra phir akela paD gaya hai
ki mera hath bhi Donge mein achchhi boTiyon ko DhunDta hai
wahi bakra
khaDa rakkha gaya hai jis ko kone mein nigahon se chhupa kar
wo jis ki zindagi hai munhasir is baat par
ki hum khaenge kitna
aur kitna chhoD denge bas yun hi apni paleTon mein
abhi kuchh der pahle main khaDa tha pas jis ke
aur jis ke zawiye se dekh kar mahfil ko
aankhen DabDaba aai thin meri
magar wo pal kabhi ka ja chuka tha
ki ab hun mez par main
aur mera hath bhi Donge mein achchhi boTiyon ko DhunDta hai
wo bakra phir akela paD gaya hai
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 145)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.