wo bichhDa hai to yaad aaya
vo bichhḌā hai to yaad aayā
vo aksar mujh se kahtā thā
mohabbat vo nahīñ hai jo ye nasl-e-nau samajhtī hai
ye pahroñ phone par bāteñ
ye aa.e din mulāqāteñ
agar ye sab mohabbat hai
to tuf aisī mohabbat par
mohabbat to mohabbat hai
visāl o vasl kī ḳhvāhish se bālā-tar
kahā kartā
mohabbat qurb kī ḳhvāhish pe aa.e to samajh lenā
havas ne sar uThāyā hai
havas kyā hai
faqat jismoñ kī pāmālī faqat tazlīl rūhoñ kī
kahā kartā mohabbat aur hotī hai
havas kuchh aur hotī hai
sau jab bhī qurb kī ḳhvāhish pe aa jaa.e mohabbat to
suno phir der mat karnā vahīñ rasta badal lenā
vo bachhḌā hai to yaad aayā
wo bichhDa hai to yaad aaya
wo aksar mujh se kahta tha
mohabbat wo nahin hai jo ye nasl-e-nau samajhti hai
ye pahron phone par baaten
ye aae din mulaqaten
agar ye sab mohabbat hai
to tuf aisi mohabbat par
mohabbat to mohabbat hai
visal o wasl ki KHwahish se baala-tar
kaha karta
mohabbat qurb ki KHwahish pe aae to samajh lena
hawas ne sar uThaya hai
hawas kya hai
faqat jismon ki pamali faqat tazlil ruhon ki
kaha karta mohabbat aur hoti hai
hawas kuchh aur hoti hai
sau jab bhi qurb ki KHwahish pe aa jae mohabbat to
suno phir der mat karna wahin rasta badal lena
wo bachhDa hai to yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.