wo chup rahne ko kahte hain jo hum fariyaad karte hain
wo chup rahne ko kahte hain jo hum fariyaad karte hain
Ram Parshad Bismil
MORE BYRam Parshad Bismil
ilāhī ḳhair vo har dam na.ī bedād karte haiñ
hamīñ tohmat lagāte haiñ jo ham fariyād karte haiñ
kabhī āzād karte haiñ kabhī bedād karte haiñ
magar us par bhī ham sau jī se un ko yaad karte haiñ
asīrān-e-qafas se kaash ye sayyād kah detā
raho āzād ho kar ham tumheñ āzād karte haiñ
rahā kartā hai ahl-e-ġham ko kyā kyā intizār is kā
ki dekheñ vo dil-e-nāshād ko kab shaad karte haiñ
ye kah kah kar basar kī umr ham ne qaid-e-ulfat meñ
vo ab āzād karte haiñ vo ab āzād karte haiñ
sitam aisā nahīñ dekhā jafā aisī nahīñ dekhī
vo chup rahne ko kahte haiñ jo ham fariyād karte haiñ
ye baat achchhī nahīñ hotī ye baat achchhī nahīñ hotī
hameñ bekas samajh kar aap kyuuñ barbād karte haiñ
koī bismil banātā hai jo maqtal meñ hameñ 'bismil'
to ham Dar kar dabī āvāz se fariyād karte haiñ
ilahi KHair wo har dam nai bedad karte hain
hamin tohmat lagate hain jo hum fariyaad karte hain
kabhi aazad karte hain kabhi bedad karte hain
magar us par bhi hum sau ji se un ko yaad karte hain
asiran-e-qafas se kash ye sayyaad kah deta
raho aazad ho kar hum tumhein aazad karte hain
raha karta hai ahl-e-gham ko kya kya intizar is ka
ki dekhen wo dil-e-nashad ko kab shad karte hain
ye kah kah kar basar ki umr hum ne qaid-e-ulfat mein
wo ab aazad karte hain wo ab aazad karte hain
sitam aisa nahin dekha jafa aisi nahin dekhi
wo chup rahne ko kahte hain jo hum fariyaad karte hain
ye baat achchhi nahin hoti ye baat achchhi nahin hoti
hamein bekas samajh kar aap kyun barbaad karte hain
koi bismil banata hai jo maqtal mein hamein 'bismil'
to hum Dar kar dabi aawaz se fariyaad karte hain
- Zabt Shuda Nzmen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.