wo dil hairan nahin hote
havā aur dhuup kā qarnoñ purānā saath hai
aur zindagī mauj-e-ravāñ hai
vo kisī pal ruk nahīñ saktī
na-jāne kitne barsoñ kī ye pur-asrār tanhā.ī
mire dil meñ
khajūroñ ke daraḳhtoñ kī tarah
yuuñ īstāda hai
ki ujḌe qartaba ke saare manzar
merī āñkhoñ meñ larazte haiñ
na-jāne kitne barsoñ kī udāsī ke
añdhere gumbadoñ meñ gūñjte
jāñ-soz andeshe
musalsal mujh pe yūrish karte haiñ
aur undulus ke kūcha-o-bāzār aur bāġhoñ ko
faulādī sumoñ se rauñdte
ghoḌoñ kī Tāpoñ se
mirā siina dhamaktā hai
mire ehsās kī ye ranjisheñ
aur ruuh ke ye dukh kisī ik sā.at-e-saffāk ne
mujh ko nahīñ sauñpe
ki ye to asal meñ vo jaal hai
tārīḳh kī makḌī jo sadiyoñ se
mire andar kahīñ
chup-chāp buntī hai
havā aur dhuup merī zindagī ke manzaroñ meñ
be-sabātī kī alāmat haiñ
zamīñ kī gardishoñ se tez hai
hālāt kī gardish
isī ne mere sar meñ ḳhaak Daalī hai
yahī to merī āñkhoñ meñ
pighaltī barf kī dīvār chuntī hai
ye kis kī baat suntī hai
mirī sāñsoñ meñ
ġharnāta kī dhuul
uḌtī hai
aur ḳhāmosh dehlī kī
havā.eñ sarsarātī haiñ
huuñ
havā kā ruḳh badalne par
vo dil hairāñ nahīñ hote
hawa aur dhup ka qarnon purana sath hai
aur zindagi mauj-e-rawan hai
wo kisi pal ruk nahin sakti
na-jaane kitne barson ki ye pur-asrar tanhai
mere dil mein
khajuron ke daraKHton ki tarah
yun istada hai
ki ujDe qartaba ke sare manzar
meri aankhon mein larazte hain
na-jaane kitne barson ki udasi ke
andhere gumbadon mein gunjte
jaan-soz andeshe
musalsal mujh pe yurish karte hain
aur undulus ke kucha-o-bazar aur baghon ko
fauladi sumon se raundte
ghoDon ki Tapon se
mera sina dhamakta hai
mere ehsas ki ye ranjishen
aur ruh ke ye dukh kisi ek saat-e-saffak ne
mujh ko nahin saunpe
ki ye to asal mein wo jal hai
tariKH ki makDi jo sadiyon se
mere andar kahin
chup-chap bunti hai
hawa aur dhup meri zindagi ke manzaron mein
be-sabaati ki alamat hain
zamin ki gardishon se tez hai
haalat ki gardish
isi ne mere sar mein KHak Dali hai
yahi to meri aankhon mein
pighalti barf ki diwar chunti hai
ye kis ki baat sunti hai
meri sanson mein
gharnata ki dhul
uDti hai
aur KHamosh dehli ki
hawaen sarsaraati hain
hun
hawa ka ruKH badalne par
wo dil hairan nahin hote
- Book : Zehn-e-Jadeed (Pg. 185)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.