wo
dil ke sāhil pe sīpiyāñ chuntī
ḳhvāb-lamhoñ meñ muskurātī hai
dilrubā.ī kī ramz se vāqif
shoḳh rangoñ sī jhilmilātī hai
mere ehsās ke darīche meñ
chāñdnī sī vo raqs kartī huī
maiñ mohabbat se us ko chhūtā huā
vo mire lams meñ utartī huī
us kī apnā.iyat bharī āñkheñ
dil kī dhaḌkan pe sher kahtī haiñ
us ko dekhūñ qarār miltā hai
varna bechainiyāñ sī rahtī haiñ
vo ki baġhdād kā mahal hai vo
saañs letī huī ġhazal hai vo
dil ke sahil pe sipiyan chunti
KHwab-lamhon mein muskuraati hai
dilrubai ki ramz se waqif
shoKH rangon si jhilmilati hai
mere ehsas ke dariche mein
chandni si wo raqs karti hui
main mohabbat se us ko chhuta hua
wo mere lams mein utarti hui
us ki apnaiyat bhari aankhen
dil ki dhaDkan pe sher kahti hain
us ko dekhun qarar milta hai
warna bechainiyan si rahti hain
wo ki baghdad ka mahal hai wo
sans leti hui ghazal hai wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.