wo: ek
maiñ jab us se milne jaatā huuñ akele rāste par
an-ginat āñkheñ sitāroñ sañg-rezoñ pattiyoñ kī
mere qadmoñ par jamī hotī haiñ lekin
mere sar par haath hotā hai kisī kā
jab mere kapḌoñ ke gahre zaḳhm be-āvāz jebeñ
bhar nahīñ sakte tamannā.eñ sar-e-mizhgān-e-ġhurbat
mere dil meñ phuuT kar rotī haiñ lekin
mere sar par haath hotā hai kisī kā
go tasavvur ke bhayānak jañgaloñ meñ din-dahāḌe
an-ginat ġham kī chuḌeleñ zahr kī ghamsān khetī
dāman-e-ehsās par botī haiñ lekin
mere sar par haath hotā hai kisī kā
main jab us se milne jata hun akele raste par
an-ginat aankhen sitaron sang-rezon pattiyon ki
mere qadmon par jami hoti hain lekin
mere sar par hath hota hai kisi ka
jab mere kapDon ke gahre zaKHm be-awaz jeben
bhar nahin sakte tamannaen sar-e-mizhgan-e-ghurbat
mere dil mein phuT kar roti hain lekin
mere sar par hath hota hai kisi ka
go tasawwur ke bhayanak jangalon mein din-dahaDe
an-ginat gham ki chuDelen zahr ki ghamsan kheti
daman-e-ehsas par boti hain lekin
mere sar par hath hota hai kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.