wo hans rahe hai
maiñ ne kahā ye mulk ek hai
to sab ke liye ek sā ho qānūn
to unhoñne kahā ki
maiñ firqa-parast kī tarah boltā huuñ
maiñ ne kahā ki mandir masjid se ziyāda zarūrī hai
ta.alīm har insān ko aur har peT ko roTī
to unhoñne kahā ki
maiñ nāstik sā īshvar ko zarūrat meñ toltā huuñ
maiñ ne kahā ki tum ham ne chune ho
to hamārā vikās karo
na sirf apnī tijoriyāñ bharo
to unhoñne kahā ki
maiñ be-vaj.h raaz kholtā huuñ
maiñ ne kahā saarā mulk ek hai
bas kuchh din meñ badal deñge
mil kar ham saarā nizām
vo kuchh nahīñ bole ab
bas hañste rahe
merī baat aur mere ḳhayālāt par
ab vo sab zor se hañs rahe hai
aur mere paañv jaise dhartī meñ dhañs rahe haiñ
maiñ jāntā huuñ ki vo saare mulk par hañs rahe haiñ
main ne kaha ye mulk ek hai
to sab ke liye ek sa ho qanun
to unhonne kaha ki
main firqa-parast ki tarah bolta hun
main ne kaha ki mandir masjid se ziyaada zaruri hai
talim har insan ko aur har peT ko roTi
to unhonne kaha ki
main nastik sa ishwar ko zarurat mein tolta hun
main ne kaha ki tum hum ne chune ho
to hamara wikas karo
na sirf apni tijoriyan bharo
to unhonne kaha ki
main be-wajh raaz kholta hun
main ne kaha sara mulk ek hai
bas kuchh din mein badal denge
mil kar hum sara nizam
wo kuchh nahin bole ab
bas hanste rahe
meri baat aur mere KHayalat par
ab wo sab zor se hans rahe hai
aur mere panw jaise dharti mein dhans rahe hain
main jaanta hun ki wo sare mulk par hans rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.