wo hansti hai to uske hath rote hain
kisī ke ba.ad
apne hāthoñ kī bad-sūratī meñ kho ga.ī hai vo
mujhe kahtī hai 'tābish'! tum ne dekhā mere hāthoñ ko
bure haiñ naañ?
agar ye ḳhūbsūrat the to in meñ koī bosa kyuuñ nahīñ Thahrā''
ajab laḌkī hai
puure jism se kaT kar faqat hāthoñ meñ zinda hai
surāhī-dār gardan narm hoñToñ tez nazroñ se vo bad-zan hai
ki in apnoñ ne hī us ko sar-e-bāzār pheñkā thā
kabhī āñkhoñ meñ Duubī
aur kabhī bistar pe silvaT kī tarah ubhrī
ajab laḌkī hai
ḳhud ko DhūñDtī hai
apne hāthoñ kī lakīroñ meñ
jahāñ vo thī na hai, ā.inda bhī shāyad nahīñ hogī
vo jab uñglī ghumā kar
'faiz' kī nazmeñ sunātī hai
to is ke haath se puure badan kā dukh jhalaktā hai
vo hañstī hai to us ke haath rote haiñ
ajab laḌkī hai
puure jism se kaT kar faqat hāthoñ meñ zinda hai
mujhe kahtī hai '''tābish'! tum ne dekhā mere hāthoñ ko
bure haiñ nāñ''?
maiñ shāyad gir chukā huuñ apnī nazroñ se
maiñ chhupnā chāhtā huuñ us ke thaile meñ
jahāñ cigarette haiñ māchis hai
jo us kā haal maazī aur mustaqbil!
ajab laḌkī hai
aa.e to ḳhushī kī tarah aatī hai
use mujh se mohabbat hai
ki shāyad mujh meñ bhī bad-sūratī hai us ke hāthoñ kii!
kisi ke baad
apne hathon ki bad-surati mein kho gai hai wo
mujhe kahti hai 'tabish'! tum ne dekha mere hathon ko
bure hain nan?
agar ye KHubsurat the to in mein koi bosa kyun nahin Thahra
ajab laDki hai
pure jism se kaT kar faqat hathon mein zinda hai
surahi-dar gardan narm honTon tez nazron se wo bad-zan hai
ki in apnon ne hi us ko sar-e-bazar phenka tha
kabhi aankhon mein Dubi
aur kabhi bistar pe silwaT ki tarah ubhri
ajab laDki hai
KHud ko DhunDti hai
apne hathon ki lakiron mein
jahan wo thi na hai, aainda bhi shayad nahin hogi
wo jab ungli ghuma kar
'faiz' ki nazmen sunati hai
to is ke hath se pure badan ka dukh jhalakta hai
wo hansti hai to us ke hath rote hain
ajab laDki hai
pure jism se kaT kar faqat hathon mein zinda hai
mujhe kahti hai 'tabish'! tum ne dekha mere hathon ko
bure hain nan?
main shayad gir chuka hun apni nazron se
main chhupna chahta hun us ke thaile mein
jahan cigarette hain machis hai
jo us ka haal mazi aur mustaqbil!
ajab laDki hai
aae to KHushi ki tarah aati hai
use mujh se mohabbat hai
ki shayad mujh mein bhi bad-surati hai us ke hathon ki!
- Book : Ishq Abaad (kulliyat) (Pg. 343)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.