aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo harf-e-tanha

Noon Meem Rashid

wo harf-e-tanha

Noon Meem Rashid

MORE BYNoon Meem Rashid

    Interesting Fact

    (Jise Tamanna-e-Vasl-e-Maana)

    hamāre a.azā jo āsmāñ taraf duā ke liye uThe haiñ

    (tum āsmāñ taraf na dekho!)

    maqām-e-nāzuk pe zarb-e-kārī se jaañ bachāne hai vasīla

    ki apnī mahrūmiyoñ se chhupne ek hīla?

    buzurg-o-bartar ḳhudā kabhī to (bahisht-e-bar-haq)

    hameñ ḳhudā se najāt degā

    ki ham haiñ is sarzamīñ pe jaise vo harf-e-tanhā

    (magar vo aisā jahāñ na hogā) ḳhamosh o goyā

    jo ārzū-e-visāl-e-ma.anī meñ rahā ho

    jo harf-e-ma.anī yak-dilī ko taras gayā ho

    hameñ muarrā ke ḳhvāb de do

    (ki sab ko baḳhsheñ ba-qadr-e-zauq-e-nigah tabassum)

    hameñ muarrā ruuh iztirāb de do

    (jahāñ gunāhoñ ke hausle se mile taqaddus ke dukh marham)

    ki us be-nūr-o-tār āñhkeñ

    darūn-e-ādam tiira rātoñ

    ko chhedtī thiiñ

    usī jahāñ meñ firāq-e-jāñ-kāh-e-harf-o-ma.anī

    ko dekhtī thiiñ

    bahisht us ke liye vo ma.asūm sāda-lauhoñ āfiyat thā

    jahāñ vo nañge badan pe jābir ke tāziyānoñ se bach ke

    rāh-e-farār paa.eñ

    vo kafsh-e-pā thā ki jis se ġhurbat reg-e-baryāñ

    se roz-e-fursat qarār paa.eñ

    ki sulb-e-ādam rahm-e-havvā uzlatoñ meñ

    nihāyat-e-intizār pā.eñ!

    (bahisht sifr-e-āzīm lekin hameñ vo gum-gashta hindse haiñ

    baġhair jin ke koī musāvāt kyā banegī

    visāl-e-ma.anī se harf baat kyā banegī?)

    ham is zamīñ par azal se pīrāna-sar haiñ maanā

    magar abhī tak haiñ dil tavānā

    aur apnī zūlida-kāriyoñ ke tufail daanā

    hameñ muarrā ke ḳhvāb de do

    (bahisht meñ bhī nashāt yak-rañg ho to ġham hai

    ho ek jām-e-shahd sab ke liye to sam hai)

    ki ham abhī tak haiñ is jahāñ meñ vo harf-e-tanhā

    (bahisht rakh lo hameñ ḳhud apnā javāb de do!)

    jise tamannā-e-vasl-e-m.anā

    hamare aaza jo aasman ki taraf dua ke liye uThe hain

    (tum aasman ki taraf na dekho!)

    maqam-e-nazuk pe zarb-e-kari se jaan bachane ka hai wasila

    ki apni mahrumiyon se chhupne ka ek hila?

    buzurg-o-bartar KHuda kabhi to (bahisht-e-bar-haq)

    hamein KHuda se najat dega

    ki hum hain is sarzamin pe jaise wo harf-e-tanha

    (magar wo aisa jahan na hoga) KHamosh o goya

    jo aarzu-e-visal-e-mani mein ji raha ho

    jo harf-e-mani ki yak-dili ko taras gaya ho

    hamein muarra ke KHwab de do

    (ki sab ko baKHshen ba-qadr-e-zauq-e-nigah tabassum)

    hamein muarra ki ruh ka iztirab de do

    (jahan gunahon ke hausle se mile taqaddus ke dukh ka marham)

    ki us ki be-nur-o-tar aanhken

    darun-e-adam ki tera raaton

    ko chhedti thin

    usi jahan mein firaq-e-jaan-kah-e-harf-o-mani

    ko dekhti thin

    bahisht us ke liye wo masum sada-lauhon ki aafiyat tha

    jahan wo nange badan pe jabir ke taziyanon se bach ke

    rah-e-farar paen

    wo kafsh-e-pa tha ki jis se ghurbat ki reg-e-baryan

    se roz-e-fursat qarar paen

    ki sulb-e-adam ki rahm-e-hawwa ki uzlaton mein

    nihayat-e-intizar paen!

    (bahisht sifr-e-azim lekin hamein wo gum-gashta hindse hain

    baghair jin ke koi musawat kya banegi

    visal-e-mani se harf ki baat kya banegi?)

    hum is zamin par azal se pirana-sar hain mana

    magar abhi tak hain dil tawana

    aur apni zulida-kariyon ke tufail dana

    hamein muarra ke KHwab de do

    (bahisht mein bhi nashat yak-rang ho to gham hai

    ho ek sa jam-e-shahd sab ke liye to sam hai)

    ki hum abhi tak hain is jahan mein wo harf-e-tanha

    (bahisht rakh lo hamein KHud apna jawab de do!)

    jise tamanna-e-wasl-e-mana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now