wo
ik rāz-e-tamanna ki jo hoñToñ pe chalā aa.e
ik harf-e-mukarrar ki jo bātoñ meñ kahā jaa.e
is naaz pe andāz pe shoḳhī pe adā laa.e
yādoñ meñ ḳhayāloñ meñ tasavvur meñ basā jaa.e
kyā baat hai kyā baat hai vo kaun hai vo kaun
ik dard hai jo har ghaḌī siine meñ hai paivast
ik choT hai ki dard bhī ho jaatā hai badmast
ik shaḳhs hai ki jis ke sarāpā se sabhī past
jo zehn meñ jo ḳhuun meñ rag rag se rahe bast
kyā baat hai kyā baat hai vo kaun hai vo kaun
ehsās hai ik jo bhare har por meñ mastī
muskān jo jiine ke tasavvur ko de hastī
ik fard kī peshānī se chamke mirī getī
jo laa.e ḳhushī mastī-o-sarmastī-o-rastī
kyā baat hai kyā baat hai vo kaun hai vo kaun
vo ek kashish jis se mirā dil hai khiñchā jaa.e
vo chaah ki har chaah pe haavī hai huā jaa.e
vo dilkash-o-dil-dār jo āñkhoñ meñ samā jaa.e
vo ek hasīñ zohra-jabīñ man meñ basā jaa.e
kyā baat hai kyā baat hai vo kaun hai vo kaun
vo āñkhoñ meñ ġhussa ki jo vahshat kī balā ho
vo māthe pe bal jaise ki shamshīr dharā ho
dilbar vo mirā jaan kā dushman jo banā ho
īmān le ke jaan le ke ḳhush jo huā ho
kyā baat hai kyā baat hai vo kaun hai vo kaun
ek raaz-e-tamanna ki jo honTon pe chala aae
ek harf-e-mukarrar ki jo baaton mein kaha jae
is naz pe andaz pe shoKHi pe ada lae
yaadon mein KHayalon mein tasawwur mein basa jae
kya baat hai kya baat hai wo kaun hai wo kaun
ek dard hai jo har ghaDi sine mein hai paiwast
ek choT hai ki dard bhi ho jata hai badmast
ek shaKHs hai ki jis ke sarapa se sabhi past
jo zehn mein jo KHun mein rag rag se rahe bast
kya baat hai kya baat hai wo kaun hai wo kaun
ehsas hai ek jo bhare har por mein masti
muskan jo jine ke tasawwur ko de hasti
ek fard ki peshani se chamke meri geti
jo lae KHushi masti-o-sarmasti-o-rasti
kya baat hai kya baat hai wo kaun hai wo kaun
wo ek kashish jis se mera dil hai khincha jae
wo chah ki har chah pe hawi hai hua jae
wo dilkash-o-dil-dar jo aankhon mein sama jae
wo ek hasin zohra-jabin man mein basa jae
kya baat hai kya baat hai wo kaun hai wo kaun
wo aankhon mein ghussa ki jo wahshat ki bala ho
wo mathe pe bal jaise ki shamshir dhara ho
dilbar wo mera jaan ka dushman jo bana ho
iman le ke jaan le ke KHush jo hua ho
kya baat hai kya baat hai wo kaun hai wo kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.