wo ek sawal
vo ik savāl jo tū ne kiyā thā
maiñ usī kā javāb DhūñDh rahā huuñ
kabhī sard rātoñ meñ kabhī ghanghor bārishoñ meñ
kabhī bhuuk pyaas meñ kabhī tanhā terī yaad meñ
ka.ī sadiyāñ guzār diiñ yuuñ tere intizār meñ
maiñ aa kar vahīñ ruk gayā jahāñ thā tere ḳhayāl meñ
phir vāpas vahīñ ulajh gayā tere savāl ke javāb meñ
sach meñ jo ik savāl tū ne kiyā thā
maiñ abhī bhī usī kā javāb DhūñDh rahā huuñ
wo ek sawal jo tu ne kiya tha
main usi ka jawab DhunDh raha hun
kabhi sard raaton mein kabhi ghanghor barishon mein
kabhi bhuk pyas mein kabhi tanha teri yaad mein
kai sadiyan guzar din yun tere intizar mein
main aa kar wahin ruk gaya jahan tha tere KHayal mein
phir wapas wahin ulajh gaya tere sawal ke jawab mein
sach mein jo ek sawal tu ne kiya tha
main abhi bhi usi ka jawab DhunDh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.