wo inqalab ka mutrib
na.ī rutoñ kā muġhannī na.ī sahar kā naqīb
bujhe diloñ kā masīhā vo tīrgī kā raqīb
vo apne ahd kā cupid vo devtā fan kā
vo somnāt-e-mohabbat kā but-shikan kitne
hadaf banā ke chale aur ḳhud hadaf Thahre
vo apne ahd kā gautam
vo sulh-e-kul kā samundar vo āshtī kā jahāñ
dukhoñ kī kāhkashā.eñ sajā.e āñkhoñ meñ
rah-e-najāt kī mash.al jalā.e āñkhoñ meñ
laboñ pe ḳhanda-e-gul kī kiran damaktī huī
nazar sulagtī huī
diye jaa.e hue gyaan ke dhiyān ke diip
shu.ūr-e-zīst kā vo rahguzar ujaal gayā
Dagar pe fikr kī sūraj nayā uchhāl gayā
dayār-e-husn kā mahram
vo sahar-sāz sarāpā vo shaḳhsiyat kā jamāl
kisī ḳhayāl kā paikar kisī sanam kā ḳhayāl
hai qaht-e-lafz-o-ma.ānī kā marhala darpesh
qalam ko radd-e-ravānī kā mas.ala darpesh
tilism-e-dīda-e-bedār kah nahīñ saktā
vo inqalāb kā mutrib
na.ī rutoñ kā muġhannī na.ī sahar kā naqīb
janāb-e-'faiz' matā.a-e-hayāt-o-harf-o-hunar
zabāñ pe baare ḳhudāyā ye kis kā naam aaya
ki mere nutq ne bose mirī zabāñ ke liye
nai ruton ka mughanni nai sahar ka naqib
bujhe dilon ka masiha wo tirgi ka raqib
wo apne ahd ka cupid wo dewta fan ka
wo somnat-e-mohabbat ka but-shikan kitne
hadaf bana ke chale aur KHud hadaf Thahre
wo apne ahd ka gautam
wo sulh-e-kul ka samundar wo aashti ka jahan
dukhon ki kahkashaen sajae aankhon mein
rah-e-najat ki mashal jalae aankhon mein
labon pe KHanda-e-gul ki kiran damakti hui
nazar sulagti hui
diye jae hue gyan ke dhiyan ke dip
shuur-e-zist ka wo rahguzar ujal gaya
Dagar pe fikr ki suraj naya uchhaal gaya
dayar-e-husn ka mahram
wo sahar-saz sarapa wo shaKHsiyat ka jamal
kisi KHayal ka paikar kisi sanam ka KHayal
hai qaht-e-lafz-o-maani ka marhala darpesh
qalam ko radd-e-rawani ka masala darpesh
tilism-e-dida-e-bedar kah nahin sakta
wo inqalab ka mutrib
nai ruton ka mughanni nai sahar ka naqib
janab-e-'faiz' mataa-e-hayat-o-harf-o-hunar
zaban pe bare KHudaya ye kis ka nam aaya
ki mere nutq ne bose meri zaban ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.