wo jo astronaut chand se aae hain
vo jo astronaut
chāñd se aa.e haiñ
pata nahīñ kahā se
jhūTī tasvīreñ laa.e haiñ
koī batā do un ko
koī batā do un ko
merā chāñd kaisā dikhtā hai
kabhī dekhnā pūnam kī raat meñ
ek dhu.dlī dhuñdlī sī
chhavī nazar aa.egī
jaise koī bachcha maañ
se lipTā ho
vo jo astronaut
chāñd se aa.e haiñ
pata nahīñ kahāñ se
jhūTī tasvīreñ laa.e haiñ
kahte haiñ chāñd marusthal haiñ
are maiñ ne to ka.ī rāteñ
chāñd ke paanī se
pī kar guzār dī
ek raat baaḌh aa ga.ī
chāñd par
sub.h giilā takiya
maiñ ne dhuup meñ sukhāyā thā
vo jo astronaut
chāñd se aa.e haiñ
pata nahīñ kahā se
jhūTī tasvīreñ laa.e haiñ
chāñd kī badaltī
chāñdnī se ka.ī dil juḌe haiñ
vo chāñd kī aThkheliyoñ ko
koī vigyān batāte haiñ
kahte haiñ ek upgrah hai
are ham to bachpan
se maamā kahte haiñ
vo jo astronaut
chāñd se aa.e haiñ
pata nahīñ kahā se
jhūTī tasvīreñ laa.e haiñ
vo jo sharmā ke
pal bhar ke liye
chhup jaatā hai
use ai chandr par
grahan kahte haiñ
unheñ kyā pata
kaise guzārtā huuñ maiñ
amāvas kī rāteñ
binā us ke
vo jo astronaut
chāñd se aa.e haiñ
pata nahīñ kahā se
jhūTī tasvīreñ laa.e haiñ
mujhe lagtā kisī
ġhalat pate par chale ga.e the
ai astronaut
aur
chāñd se hai un kī purānī dushmanī
is liye saarā dosh chāñd ko dete haiñ
vo jo astronaut
chāñd se aa.e haiñ
pata nahīñ kahā se
jhūTī tasvīreñ laa.e haiñ
vo jo astronuat
chāñd se aa.e haiñ
pata nahīñ kahā se
jhūTī tasvīreñ laa.e haiñ
wo jo astronaut
chand se aae hain
pata nahin kaha se
jhuTi taswiren lae hain
koi bata do un ko
koi bata do un ko
mera chand kaisa dikhta hai
kabhi dekhna punam ki raat mein
ek dhudli dhundli si
chhawi nazar aaegi
jaise koi bachcha man
se lipTa ho
wo jo astronaut
chand se aae hain
pata nahin kahan se
jhuTi taswiren lae hain
kahte hain chand marusthal hain
are main ne to kai raaten
chand ke pani se
pi kar guzar di
ek raat baDh aa gai
chand par
subh gila takiya
main ne dhup mein sukhaya tha
wo jo astronaut
chand se aae hain
pata nahin kaha se
jhuTi taswiren lae hain
chand ki badalti
chandni se kai dil juDe hain
wo chand ki aThkheliyon ko
koi wigyan batate hain
kahte hain ek upgrah hai
are hum to bachpan
se mama kahte hain
wo jo astronaut
chand se aae hain
pata nahin kaha se
jhuTi taswiren lae hain
wo jo sharma ke
pal bhar ke liye
chhup jata hai
use ai chandr par
grahan kahte hain
unhen kya pata
kaise guzarta hun main
amawas ki raaten
bina us ke
wo jo astronaut
chand se aae hain
pata nahin kaha se
jhuTi taswiren lae hain
mujhe lagta kisi
ghalat pate par chale gae the
ai astronaut
aur
chand se hai un ki purani dushmani
is liye sara dosh chand ko dete hain
wo jo astronaut
chand se aae hain
pata nahin kaha se
jhuTi taswiren lae hain
wo jo astronuat
chand se aae hain
pata nahin kaha se
jhuTi taswiren lae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.