tasavvurāt kī duniyā ko DhūñDhtā huuñ ki ziist
tire taqāzoñ kī had naqsha-e-jahāñ meñ nahīñ
tujhe ḳhabar hai ajal bārhā mire ghar se
mirī udāsī pe aañsū bahā ke lauT ga.ī
nahīñ ki mere muqaddar meñ inqalāb nahīñ
faqat ye terī tahī-dāmanī hai jis ke tufail
tire tarāshe hue but dayār-e-hastī meñ
asīr-e-ranj-o-gadā.ī-nasīb haiñ ab tak
tujhe ab apne tamāshe pe naaz hogā magar
tujhe ḳhabar hai ye kam bā.is-e-malāl nahīñ
malāl tujh ko tirī kam-nasībiyoñ pe fuġhāñ
agar ḳhush aa.e to aa.e ki merī bazm-e-ḳhayāl
abhī javāñ hai hasīñ hai aur aise aalam meñ
ajab nahīñ ki mirī chashm-e-fikr pā jaa.e
vo kā.enāt vo aalam ki jis ko har lamha
na.e-navele dhuñdalke sañvārā karte haiñ
tasawwuraat ki duniya ko DhunDhta hun ki zist
tere taqazon ki had naqsha-e-jahan mein nahin
tujhe KHabar hai ajal barha mere ghar se
meri udasi pe aansu baha ke lauT gai
nahin ki mere muqaddar mein inqalab nahin
faqat ye teri tahi-damani hai jis ke tufail
tere tarashe hue but dayar-e-hasti mein
asir-e-ranj-o-gadai-nasib hain ab tak
tujhe ab apne tamashe pe naz hoga magar
tujhe KHabar hai ye kam bais-e-malal nahin
malal tujh ko teri kam-nasibiyon pe fughan
agar KHush aae to aae ki meri bazm-e-KHayal
abhi jawan hai hasin hai aur aise aalam mein
ajab nahin ki meri chashm-e-fikr pa jae
wo kaenat wo aalam ki jis ko har lamha
nae-nawele dhundalke sanwara karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.