wo kaun musawwir hai
vo kaun musavvir Thahrā jis ne hai tujhe banāyā
vo qalam kahāñ se aayā ye rang kahāñ se aayā
pañkhuḌiyāñ idhar gulābī gāloñ pe ik ra.anā.ī
ye tīkhī tīkhī chitvan pe āñkhoñ kī gahrā.ī
zulfoñ ke hasīñ saa.e meñ ye rang kahāñ se aayā
vo kaun musavvir Thahrā jis ne hai tujhe banāyā
vo qalam kahāñ se aayā ye rang kahāñ se aayā
āñkhoñ se chhalaktī mastī ye abrū ḳhanjar jaisī
ye jism bahāroñ jaisā ye chaal sitamgar jaisī
ye paak pavitra joban darpan ḳhud hī sharmāyā
vo kaun musavvir Thahrā jis ne hai tujhe banāyā
vo qalam kahāñ se aayā ye rang kahāñ se aayā
kuchh rang liye phūloñ se kuchh gulshan kā ras māñgā
bijlī se chamak churā.ī bādal se shyāmal chhāyā
phir sham.a se liyā ujālā kuchh dil kā ḳhuun milāyā
vo kaun musavvir Thahrā jis ne hai tujhe banāyā
vo qalam kahāñ se aayā vo rang kahāñ se aayā
wo kaun musawwir Thahra jis ne hai tujhe banaya
wo qalam kahan se aaya ye rang kahan se aaya
pankhuDiyan idhar gulabi galon pe ek ranai
ye tikhi tikhi chitwan pe aankhon ki gahrai
zulfon ke hasin sae mein ye rang kahan se aaya
wo kaun musawwir Thahra jis ne hai tujhe banaya
wo qalam kahan se aaya ye rang kahan se aaya
aankhon se chhalakti masti ye abru KHanjar jaisi
ye jism bahaaron jaisa ye chaal sitamgar jaisi
ye pak pawitra joban darpan KHud hi sharmaya
wo kaun musawwir Thahra jis ne hai tujhe banaya
wo qalam kahan se aaya ye rang kahan se aaya
kuchh rang liye phulon se kuchh gulshan ka ras manga
bijli se chamak churai baadal se shyamal chhaya
phir shama se liya ujala kuchh dil ka KHun milaya
wo kaun musawwir Thahra jis ne hai tujhe banaya
wo qalam kahan se aaya wo rang kahan se aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.