wo
saarā ghar jab so jaatā hai
vo ghar meñ dāḳhil hotā hai
sote bachchoñ ke pairoñ ke
pyaar bhare bose letā hai
biivī ke nāzuk hoñToñ ko
apne gāloñ se chhūtā hai
phir apne bistar par jā kar
sone kī koshish kartā hai
jaane kab jhapkī aatī hai
jaane kab vo so jaatā hai
dekh ke koī ḳhvāb bhayānak
sote sote chauñk uThtā hai
raat raat bhar tārīkī meñ
jaane kyā sochā kartā
sara ghar jab so jata hai
wo ghar mein daKHil hota hai
sote bachchon ke pairon ke
pyar bhare bose leta hai
biwi ke nazuk honTon ko
apne galon se chhuta hai
phir apne bistar par ja kar
sone ki koshish karta hai
jaane kab jhapki aati hai
jaane kab wo so jata hai
dekh ke koi KHwab bhayanak
sote sote chaunk uThta hai
raat raat bhar tariki mein
jaane kya socha karta
- Book : Intekhab-e- kumaar paashii (Pg. 56)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.